ishq ka lafzon se izhaar nahin ho sakta
'ishq kā lafzoñ se iz.hār nahīñ ho saktā
dil kā saudā sar-e-bāzār nahīñ ho saktā
mulk kī shaan meñ sar apnā jhukātā hai jo
merā dā'vā hai vo ġhaddār nahīñ ho saktā
'ishq ke zaḳhm se mahsūs huā hai mujh ko
ek hī tiir kā ye vaar nahīñ ho saktā
aaj insān jo lafzoñ meñ ugal detā hai
saañp us zahr kā haqdār nahīñ ho saktā
bādshāhoñ kā koī jhuuT jo zāhir kar de
is zamāne kā vo aḳhbār nahīñ ho saktā
maañg le jaan bhī ulfat meñ to maiñ de dūñgā
is se baḌh kar maiñ vafādār nahīñ ho saktā
jāntā kaun hai chehre se haqīqat āḳhir
bhiiḌ kahtī hai gunahgār nahīñ ho saktā
ye yaqīñ hai ki karishma to kabhī hogā hī
manziloñ par koī har baar nahīñ ho saktā
jism jo dafn hai maqtūl kā is malbe meñ
faisla kaise mire yaar nahīñ ho saktā
'ishq ka lafzon se izhaar nahin ho sakta
dil ka sauda sar-e-bazar nahin ho sakta
mulk ki shan mein sar apna jhukata hai jo
mera da'wa hai wo ghaddar nahin ho sakta
'ishq ke zaKHm se mahsus hua hai mujh ko
ek hi tir ka ye war nahin ho sakta
aaj insan jo lafzon mein ugal deta hai
sanp us zahr ka haqdar nahin ho sakta
baadshahon ka koi jhuT jo zahir kar de
is zamane ka wo aKHbar nahin ho sakta
mang le jaan bhi ulfat mein to main de dunga
is se baDh kar main wafadar nahin ho sakta
jaanta kaun hai chehre se haqiqat aaKHir
bhiD kahti hai gunahgar nahin ho sakta
ye yaqin hai ki karishma to kabhi hoga hi
manzilon par koi har bar nahin ho sakta
jism jo dafn hai maqtul ka is malbe mein
faisla kaise mere yar nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.