ishq ko KHun-e-jigar ki hai talab kahte hain
ishq ko ḳhūn-e-jigar kī hai talab kahte haiñ
zaḳhm khāne ko vafāoñ kā adab kahte haiñ
husn kī dhuup meñ nikhrā huā phūloñ sā badan
dil ke luT jaane kā is ko hī sabab kahte haiñ
ḳhaak maltā hai falak aa ke mire qadmoñ kī
ḳhāksārī ko bulandī kā laqab kahte haiñ
vo bhī lahrā ke har ik dard sunā kartī hai
qaid kā vāqi.a zanjīr se jab kahte haiñ
tum ye maano ki na maano hai tumhārī marzī
ishq ko daan sahī jiine ko Dhab kahte haiñ
dil meñ tūfāñ jo chhupā.e ho chhupā.e rakkho
saarā afsāna larazte hue lab kahte haiñ
tum divāne ho ye sach hai ise taslīm karo
ham nahīñ kahte faqat shahr meñ sab kahte haiñ
in ko dekhūñ to inheñ merī nazar lag jaa.e
aisā hotā hai kahīñ aap ġhazab kahte haiñ
dil jo rotā hai use gaate hue nikle 'nadīm'
log is dard-e-mohabbat ko adab kahte haiñ
ishq ko KHun-e-jigar ki hai talab kahte hain
zaKHm khane ko wafaon ka adab kahte hain
husn ki dhup mein nikhra hua phulon sa badan
dil ke luT jaane ka is ko hi sabab kahte hain
KHak malta hai falak aa ke mere qadmon ki
KHaksari ko bulandi ka laqab kahte hain
wo bhi lahra ke har ek dard suna karti hai
qaid ka waqia zanjir se jab kahte hain
tum ye mano ki na mano hai tumhaari marzi
ishq ko dan sahi jine ko Dhab kahte hain
dil mein tufan jo chhupae ho chhupae rakkho
sara afsana larazte hue lab kahte hain
tum diwane ho ye sach hai ise taslim karo
hum nahin kahte faqat shahr mein sab kahte hain
in ko dekhun to inhen meri nazar lag jae
aisa hota hai kahin aap ghazab kahte hain
dil jo rota hai use gate hue nikle 'nadim'
log is dard-e-mohabbat ko adab kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.