itna hasin bhi chahaton ka silsila na ho
itnā hasīñ bhī chāhatoñ kā silsila na ho
ulfat ho tujh se aur tujhī se gila na ho
har dam usī ko sochnā har dam usī kī yaad
nashsha mohabbatoñ kā ho itnā nasha na ho
merī du'ā hai 'ishq meñ chāhe jo haal ho
lekin kisī kā haal mire haal sā na ho
dil jis ko chāhtā hai vo miltā nahīñ use
miltā hai dil ko vo ye jise chāhtā na ho
tū mujh se baat karne ko tarse tamām 'umr
lekin kabhī bhī mujh se tirā rābta na ho
ab mujh meñ ġham uThāne kī tāqat nahīñ rahī
ab zindagī meñ koī nayā hādisa na ho
phaT jaa.e āsmāñ yā zamīñ raakh ho magar
apnā kisī kā koī kisī se judā na ho
ye bhī 'ajīb ‘ālam-e-bechārgī hai dost
manzil to sāmne ho magar rāsta na ho
jaane lage jo aah mirī 'arsh kī taraf
karnā du'ā vo aah mirī bad-du'ā na ho
mere tasavvurāt meñ ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ
vo ho na ho magar koī us ke sivā na ho
phir yuuñ na ho ki baa'd meñ pachhtā.eñ 'umr-bhar
in bad-gumāniyoñ meñ koī faisla na ho
dil meñ to us ko apne basānā 'sahar' magar
mahbūb hī rahe vo tumhārā ḳhudā na ho
itna hasin bhi chahaton ka silsila na ho
ulfat ho tujh se aur tujhi se gila na ho
har dam usi ko sochna har dam usi ki yaad
nashsha mohabbaton ka ho itna nasha na ho
meri du'a hai 'ishq mein chahe jo haal ho
lekin kisi ka haal mere haal sa na ho
dil jis ko chahta hai wo milta nahin use
milta hai dil ko wo ye jise chahta na ho
tu mujh se baat karne ko tarse tamam 'umr
lekin kabhi bhi mujh se tera rabta na ho
ab mujh mein gham uThane ki taqat nahin rahi
ab zindagi mein koi naya hadisa na ho
phaT jae aasman ya zamin rakh ho magar
apna kisi ka koi kisi se juda na ho
ye bhi 'ajib ‘alam-e-bechaargi hai dost
manzil to samne ho magar rasta na ho
jaane lage jo aah meri 'arsh ki taraf
karna du'a wo aah meri bad-du'a na ho
mere tasawwuraat mein KHwab-o-KHayal mein
wo ho na ho magar koi us ke siwa na ho
phir yun na ho ki ba'd mein pachhtaen 'umr-bhar
in bad-gumaniyon mein koi faisla na ho
dil mein to us ko apne basana 'sahar' magar
mahbub hi rahe wo tumhaara KHuda na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.