jaan kabhi din se kabhi raat se Takraati hai
jaañ kabhī din se kabhī raat se Takrātī hai
ek kashtī ka.ī ḳhatrāt se Takrātī hai
dil kī muDbheḌ tirī yaad se hotī hai kahīñ
tīrgī nuur ke zarrāt se Takrātī hai
ek hālat kā koī haal nahīñ hai mujh meñ
ek hālat hai ki hālāt se Takrātī hai
aah ke chīthḌe āfāq meñ uḌte haiñ kahīñ
be-kasī arz-o-samāvāt se Takrātī hai
raah paatī nahīñ manzar se nikalne ke liye
hairat apne hī tilismāt se Takrātī hai
kā.enāteñ mirī tashrīh-talab haiñ ab tak
ik musāvāt musāvāt se Takrātī hai
saañs hotī nahīñ hastī kī numū meñ haa.il
ruuh kab jism ke ḳhalyāt se Takrātī hai
zabt bhī TuuT na jaa.e kahīñ pushte kī tarah
lahr ḳhatre ke nishānāt se Takrātī hai
garm rahtī hai tire ranj se siine kī fazā
dhuup shīshe ke makānāt se Takrātī hai
silsila aage baḌhātī hai sabā mauj-ba-mauj
ek baat aglī kisī baat se Takrātī hai
nā-tavānā.ī tavānā.ī kī hī shakl na ho
piirī sar bāb-e-munājāt se Takrātī hai
mutasādim hai farāmoshī farāmoshī se
saañs shabnam ke buḳhārāt se Takrātī hai
dil hai mā-qabl-e-qadīm aañkh hai mā-ba.ad-e-jadīd
hastī apne hī tazādāt se Takrātī hai
be-ḳhayālī ke kināre pe kahīñ baiThā huuñ
ek lahr aatī hai jazbāt se Takrātī hai
us kī aamad bhī tavārud kī tarah hai 'shāhid'
ḳhabar auroñ ke ḳhayālāt se Takrātī hai
jaan kabhi din se kabhi raat se Takraati hai
ek kashti kai KHatraat se Takraati hai
dil ki muDbheD teri yaad se hoti hai kahin
tirgi nur ke zarraat se Takraati hai
ek haalat ka koi haal nahin hai mujh mein
ek haalat hai ki haalat se Takraati hai
aah ke chithDe aafaq mein uDte hain kahin
be-kasi arz-o-samawat se Takraati hai
rah pati nahin manzar se nikalne ke liye
hairat apne hi tilismat se Takraati hai
kaenaten meri tashrih-talab hain ab tak
ek musawat musawat se Takraati hai
sans hoti nahin hasti ki numu mein hail
ruh kab jism ke KHalyat se Takraati hai
zabt bhi TuT na jae kahin pushte ki tarah
lahr KHatre ke nishanat se Takraati hai
garm rahti hai tere ranj se sine ki faza
dhup shishe ke makanat se Takraati hai
silsila aage baDhati hai saba mauj-ba-mauj
ek baat agli kisi baat se Takraati hai
na-tawanai tawanai ki hi shakl na ho
piri sar bab-e-munajat se Takraati hai
mutasadim hai faramoshi faramoshi se
sans shabnam ke buKHaraat se Takraati hai
dil hai ma-qabl-e-qadim aankh hai ma-baad-e-jadid
hasti apne hi tazadat se Takraati hai
be-KHayali ke kinare pe kahin baiTha hun
ek lahr aati hai jazbaat se Takraati hai
us ki aamad bhi tawarud ki tarah hai 'shahid'
KHabar auron ke KHayalat se Takraati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.