jab bhi peDon se jaan nikalti hai
jab bhī peḌoñ se jaañ nikaltī hai
zindagī be-amāñ nikaltī hai
ham jise vāqi.a samajhte haiñ
vo koī dāstāñ nikaltī hai
mahfil-e-jān-e-jāñ kā mat pūchho
hasrat-e-dīd vaañ nikaltī hai
jab bhī mausam ho sabz pattoñ kā
hasrat-e-bad-gumāñ nikaltī hai
sāhibān-e-karam ke sadqe se
mastī-e-jism-o-jāñ nikaltī hai
aah uThtī hai vādī-e-dil se
phir sū-e-asmāñ nikaltī hai
jānib-e-raftagāñ nahīñ jaatī
zindagī phir kahāñ nikaltī hai
jin ke hoñToñ ko chup sī lag jaa.e
un kī puurī zabāñ nikaltī hai
yād-e-māzī bhī dīda-e-tar se
sūrat-e-kārvāñ nikaltī hai
jab bhi peDon se jaan nikalti hai
zindagi be-aman nikalti hai
hum jise waqia samajhte hain
wo koi dastan nikalti hai
mahfil-e-jaan-e-jaan ka mat puchho
hasrat-e-did wan nikalti hai
jab bhi mausam ho sabz patton ka
hasrat-e-bad-guman nikalti hai
sahiban-e-karam ke sadqe se
masti-e-jism-o-jaan nikalti hai
aah uThti hai wadi-e-dil se
phir su-e-asman nikalti hai
jaanib-e-raftagan nahin jati
zindagi phir kahan nikalti hai
jin ke honTon ko chup si lag jae
un ki puri zaban nikalti hai
yaad-e-mazi bhi dida-e-tar se
surat-e-karwan nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.