jagmagate shahr ki tah jagmagati ret hai
jagmagāte shahr kī tah jagmagātī ret hai
āsmānī ḳhvāb haiñ aur kā.enātī ret hai
hai samundar ke laboñ par shādiyānoñ kī sadā
sāhiloñ par apnī dhun meñ gungunātī ret hai
uḌte phirte haiñ havā ke saath zarroñ kī tarah
zindagī ke roz-o-shab kī be-sabātī ret hai
ye masāfat tishnagī hai aur maiñ sahrā meñ huuñ
phāñktā paanī huuñ lekin muñh meñ aatī ret hai
is safar meñ bārhā āñkhoñ ne dekhe haiñ sarāb
maujzan paanī kī sūrat jhilmilātī ret hai
ik fasāna likh rahā hai sārbān-e-zindagī
vāqi’ātī qāfile haiñ hādsātī ret hai
jagmagate shahr ki tah jagmagati ret hai
aasmani KHwab hain aur kaenati ret hai
hai samundar ke labon par shadiyanon ki sada
sahilon par apni dhun mein gungunati ret hai
uDte phirte hain hawa ke sath zarron ki tarah
zindagi ke roz-o-shab ki be-sabaati ret hai
ye masafat tishnagi hai aur main sahra mein hun
phankta pani hun lekin munh mein aati ret hai
is safar mein barha aankhon ne dekhe hain sarab
maujzan pani ki surat jhilmilati ret hai
ek fasana likh raha hai sarban-e-zindagi
waqi’ati qafile hain hadsati ret hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.