jahan aql ka bhi guzar na ho jahan ishq ka bhi asar na ho
jahan aql ka bhi guzar na ho jahan ishq ka bhi asar na ho
Kausar Parveen Kausar
MORE BYKausar Parveen Kausar
jahāñ 'aql kā bhī guzar na ho jahāñ 'ishq kā bhī asar na ho
mujhe us jagah kī talāsh hai jahāñ ḳhud ko ḳhud kī ḳhabar na ho
ye ravā nahīñ kisī taur bhī use mere dil kī ḳhabar na ho
shab-e-vasl kī jo du'ā karūñ to mirī du'ā meñ asar na ho
maiñ samajh rahī huuñ digar jise vo harīf merā jigar na ho
maiñ farāz-e-dār se dekh luuñ kahīñ kārvān-e-sahar na ho
kahīñ vaqt bhī na ho bad-gumāñ mire zabt kā na le imtihāñ
maiñ girah jo zulf kī khol duuñ to nasīb tujh ko sahar na ho
na zamīñ rahe na to āsmāñ rahe kuchh agar to dhuāñ dhuāñ
mujhe Dar to hai isī baat kā jo ḳhalish idhar hai udhar na ho
vo hayāt-e-nau ke hoñ marhale ki hoñ husn-o-'ishq ke falsafe
hai vo guftugū koī guftugū tire dil pe jis kā asar na ho
yahī sar-bulandī kā raaz hai yahī ‘abdiyat kā ḳharāj hai
mile ‘abdiyat kā sharaf kahāñ tire dar pe gar mirā sar na ho
kahāñ chashm-e-'kausar'-e-nā-tavāñ kahāñ husn kī vo tajalliyāñ
use dekhne kī tū zid na kar kahīñ gul charāġh-e-nazar na ho
jahan 'aql ka bhi guzar na ho jahan 'ishq ka bhi asar na ho
mujhe us jagah ki talash hai jahan KHud ko KHud ki KHabar na ho
ye rawa nahin kisi taur bhi use mere dil ki KHabar na ho
shab-e-wasl ki jo du'a karun to meri du'a mein asar na ho
main samajh rahi hun digar jise wo harif mera jigar na ho
main faraaz-e-dar se dekh lun kahin karwan-e-sahar na ho
kahin waqt bhi na ho bad-guman mere zabt ka na le imtihan
main girah jo zulf ki khol dun to nasib tujh ko sahar na ho
na zamin rahe na to aasman rahe kuchh agar to dhuan dhuan
mujhe Dar to hai isi baat ka jo KHalish idhar hai udhar na ho
wo hayat-e-nau ke hon marhale ki hon husn-o-'ishq ke falsafe
hai wo guftugu koi guftugu tere dil pe jis ka asar na ho
yahi sar-bulandi ka raaz hai yahi ‘abdiyat ka KHaraj hai
mile ‘abdiyat ka sharaf kahan tere dar pe gar mera sar na ho
kahan chashm-e-'kausar'-e-na-tawan kahan husn ki wo tajalliyan
use dekhne ki tu zid na kar kahin gul charagh-e-nazar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.