jahan walon se rudad-e-jahan kuchh aur kahti hai
Interesting Fact
(21st March, 1952) (Birth date of Barq)
jahāñ vāloñ se rūdād-e-jahāñ kuchh aur kahtī hai
pa.e-ahl-e-nazar ye dāstāñ kuchh aur kahtī hai
na.e māhaul meñ umr-e-ravāñ kuchh aur kahtī hai
ba-andāz-e-digar ye dāstāñ kuchh aur kahtī hai
kisī ke sāmne pahle zabāñ kuchh aur kahtī thī
badal kar ab ye andāz-e-bayāñ kuchh aur kahtī hai
tirī chashm-e-suḳhan-go kā koī andāz to dekhe
nihāñ kuchh aur kahtī hai ayaañ kuchh aur kahtī hai
ḳhamoshī ma.anī dārad ki dar-e-guftan namī aayad
ḳhamoshī se ibārat dāstāñ kuchh aur kahtī hai
na ab kaliyāñ chaTaktī haiñ na ġhunche muskurāte haiñ
gulistāñ se havā-e-gulsitāñ kuchh aur kahtī hai
ba-qadr-e-hausla jiine kā armāñ kyā kare koī
zamāne kī havā ai mehrbāñ kuchh aur kahtī hai
hameñ to mudda.ā sirf ek hī us meñ nazar aayā
kahe sau baar gar terī zabāñ kuchh aur kahtī hai
nihāñ hai azmat-e-derīna kī ik dāstāñ us meñ
chaman vāloñ se ḳhāk-e-āshiyāñ kuchh aur kahtī hai
haqīqat kis meñ kitnī hai kise ab mo'atabar samjheñ
ḳhizāñ kuchh aur bahār-e-be-ḳhizāñ kuchh aur kahtī hai
bahār-e-jāvedāñ gulshan meñ ab kuchh bhī kahe 'tālib'
qafas vāloñ se yād-e-āshiyāñ kuchh aur kahtī hai
jahan walon se rudad-e-jahan kuchh aur kahti hai
pae-ahl-e-nazar ye dastan kuchh aur kahti hai
nae mahaul mein umr-e-rawan kuchh aur kahti hai
ba-andaz-e-digar ye dastan kuchh aur kahti hai
kisi ke samne pahle zaban kuchh aur kahti thi
badal kar ab ye andaz-e-bayan kuchh aur kahti hai
teri chashm-e-suKHan-go ka koi andaz to dekhe
nihan kuchh aur kahti hai ayan kuchh aur kahti hai
KHamoshi mani darad ki dar-e-guftan nami aayad
KHamoshi se ibarat dastan kuchh aur kahti hai
na ab kaliyan chaTakti hain na ghunche muskuraate hain
gulistan se hawa-e-gulsitan kuchh aur kahti hai
ba-qadr-e-hausla jine ka arman kya kare koi
zamane ki hawa ai mehrban kuchh aur kahti hai
hamein to muddaa sirf ek hi us mein nazar aaya
kahe sau bar gar teri zaban kuchh aur kahti hai
nihan hai azmat-e-derina ki ek dastan us mein
chaman walon se KHak-e-ashiyan kuchh aur kahti hai
haqiqat kis mein kitni hai kise ab mo'atabar samjhen
KHizan kuchh aur bahaar-e-be-KHizan kuchh aur kahti hai
bahaar-e-jawedan gulshan mein ab kuchh bhi kahe 'talib'
qafas walon se yaad-e-ashiyan kuchh aur kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.