jaise dekha hai dikhaya bhi nahin ja sakta
jaise dekhā hai dikhāyā bhī nahīñ jā saktā
ḳhvāb kā haal sunāyā bhī nahīñ jā saktā
pheñkī jaatī bhī nahīñ raah meñ yādeñ us kī
aur ye bojh uThāyā bhī nahīñ jā saktā
aks ko aañkh se thāmā hai sar-e-āb-e-ravāñ
chāñd paanī meñ bahāyā bhī nahīñ jā saktā
do kināre bhī ye hote to milā detā maiñ
dil ko duniyā se milāyā bhī nahīñ jā saktā
hote hote vo mujhe ishq-nagar le hī gayā
maiñ ne sau baar batāyā bhī nahīñ jā saktā
is jagah rah ke maiñ aayā huuñ taḳhayyul vaalo
jis jagah soch kā saayā bhī nahīñ jā saktā
nā-murādī ruḳh-e-qātil pe likhī rahtī hai
ḳhuun kā daaġh miTāyā bhī nahīñ jā saktā
haal ā.inda sunātā chalā jaatā lekin
hañsne vāloñ ko rulāyā bhī nahīñ jā saktā
varna din-rāt maiñ sar-toḌ mashaqqat kartā
kyā karūñ pyaar kamāyā bhī nahīñ jā saktā
ab maiñ kyā raah nikālūñ ki judā.ī jaa.e
us se aayā bhī bulāyā bhī nahīñ jā saktā
dil hī mismār kareñ ahl-e-mohabbat 'nayyar'
puurā māhaul to Dhāyā bhī nahīñ jā saktā
jaise dekha hai dikhaya bhi nahin ja sakta
KHwab ka haal sunaya bhi nahin ja sakta
phenki jati bhi nahin rah mein yaaden us ki
aur ye bojh uThaya bhi nahin ja sakta
aks ko aankh se thama hai sar-e-ab-e-rawan
chand pani mein bahaya bhi nahin ja sakta
do kinare bhi ye hote to mila deta main
dil ko duniya se milaya bhi nahin ja sakta
hote hote wo mujhe ishq-nagar le hi gaya
main ne sau bar bataya bhi nahin ja sakta
is jagah rah ke main aaya hun taKHayyul walo
jis jagah soch ka saya bhi nahin ja sakta
na-muradi ruKH-e-qatil pe likhi rahti hai
KHun ka dagh miTaya bhi nahin ja sakta
haal aainda sunata chala jata lekin
hansne walon ko rulaya bhi nahin ja sakta
warna din-raat main sar-toD mashaqqat karta
kya karun pyar kamaya bhi nahin ja sakta
ab main kya rah nikalun ki judai jae
us se aaya bhi bulaya bhi nahin ja sakta
dil hi mismar karen ahl-e-mohabbat 'nayyar'
pura mahaul to Dhaya bhi nahin ja sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.