jalti bujhti hui shamon ka dhuan rahta hai
jaltī bujhtī huī sham.oñ kā dhuāñ rahtā hai
kuchh 'ajab dhund ke 'ālam meñ makāñ rahtā hai
ḳhushk dariyā hai na dariyā pe hai pahra lekin
har taraf pyaas kā ḳhūñ-rañg samāñ rahtā hai
is bhare shahr meñ mushkil hai tajassus us kā
kis ko fursat jo kahe kaun kahāñ rahtā hai
bhūlnā sahl nahīñ vaqt kī sañgīnī kā
zaḳhm bhartā hai magar us kā nishāñ rahtā hai
merī āñkhoñ meñ haiñ sad-rang manāzir lekin
kuchh hai mā'dūm jo ehsās-e-ziyāñ rahtā hai
niiñd aatī hai kahāñ ujḌe makāñ meñ 'shāhid'
koī aaseb kā har raat gumāñ rahtā hai
jalti bujhti hui shamon ka dhuan rahta hai
kuchh 'ajab dhund ke 'alam mein makan rahta hai
KHushk dariya hai na dariya pe hai pahra lekin
har taraf pyas ka KHun-rang saman rahta hai
is bhare shahr mein mushkil hai tajassus us ka
kis ko fursat jo kahe kaun kahan rahta hai
bhulna sahl nahin waqt ki sangini ka
zaKHm bharta hai magar us ka nishan rahta hai
meri aankhon mein hain sad-rang manazir lekin
kuchh hai ma'dum jo ehsas-e-ziyan rahta hai
nind aati hai kahan ujDe makan mein 'shahid'
koi aaseb ka har raat guman rahta hai
- Book : Mausam Mausam Roop (Pg. 20)
- Author : Shahid Kaleem
- Publication : Sarvat Publication, Patna (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.