jalwe behosh na kar den tere diwanon ko
jalve behosh na kar deñ tire dīvānoñ ko
sham.a kī lau na kahīñ phūñk na de parvānoñ ko
kar na talqīn-e-adab bazm meñ mastānoñ ko
hosh rahtā hai kise dekh ke paimānoñ ko
sub.h kī pahlī kiran shab kā haTātī hai naqāb
zindagī az-sar-e-nau miltī hai armānoñ ko
ziist be-rang thī saada thī kahānī dil kī
rañg baḳhshā tirī ulfat ne hī afsānoñ ko
ye tabassum ye takallum ye tarannum ye adā
be-qarār aur bhī karte haiñ pareshānoñ ko
chand kāñTe rah-e-duniyā se haTā.e haiñ zarūr
gulsitāñ garche banāyā na bayābānoñ ko
muddatoñ kī vo mirī tishna-labī hai ki 'habīb'
taktī hai duur se ḳhāmosh jo paimānoñ ko
jalwe behosh na kar den tere diwanon ko
shama ki lau na kahin phunk na de parwanon ko
kar na talqin-e-adab bazm mein mastanon ko
hosh rahta hai kise dekh ke paimanon ko
subh ki pahli kiran shab ka haTati hai naqab
zindagi az-sar-e-nau milti hai armanon ko
zist be-rang thi sada thi kahani dil ki
rang baKHsha teri ulfat ne hi afsanon ko
ye tabassum ye takallum ye tarannum ye ada
be-qarar aur bhi karte hain pareshanon ko
chand kanTe rah-e-duniya se haTae hain zarur
gulsitan garche banaya na bayabanon ko
muddaton ki wo meri tishna-labi hai ki 'habib'
takti hai dur se KHamosh jo paimanon ko
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 107)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.