jalwe ka un ke ye hai asar kuchh KHabar nahin
jalve kā un ke ye hai asar kuchh ḳhabar nahīñ
maiñ kaun huuñ kahāñ huuñ kidhar kuchh ḳhabar nahīñ
siine meñ har taraf nazar aatā hai dard hī
dil hai kahāñ kahāñ hai jigar kuchh ḳhabar nahīñ
āñkhoñ meñ ek rang udāsī kā jam gayā
kaisī hai shaam kaisī sahar kuchh ḳhabar nahīñ
ab chārāgar tū mujh se mirā haal kuchh na pūchh
hai yā nahīñ hai dard-e-jigar kuchh ḳhabar nahīñ
har dam tire ḳhayāl meñ hai mahviyat mujhe
hotī hai kaise umr basar kuchh ḳhabar nahīñ
itnā to jānte haiñ ki dil meñ haiñ zalzale
kyā kar ga.ī ik un kī nazar kuchh ḳhabar nahīñ
rahtā hai bandishoñ meñ vo har vaqt ziist kī
apnī qazā kī rakhtā bashar kuchh ḳhabar nahīñ
ab itnī mahviyat hai hameñ tere ishq meñ
kaisī ḳhabar kahāñ kī ḳhabar kuchh ḳhabar nahīñ
laa.ī hai apne saath jo 'nashtar' shab-e-firāq
is shaam kī kab hogī sahar kuchh ḳhabar nahīñ
jalwe ka un ke ye hai asar kuchh KHabar nahin
main kaun hun kahan hun kidhar kuchh KHabar nahin
sine mein har taraf nazar aata hai dard hi
dil hai kahan kahan hai jigar kuchh KHabar nahin
aankhon mein ek rang udasi ka jam gaya
kaisi hai sham kaisi sahar kuchh KHabar nahin
ab chaaragar tu mujh se mera haal kuchh na puchh
hai ya nahin hai dard-e-jigar kuchh KHabar nahin
har dam tere KHayal mein hai mahwiyat mujhe
hoti hai kaise umr basar kuchh KHabar nahin
itna to jaante hain ki dil mein hain zalzale
kya kar gai ek un ki nazar kuchh KHabar nahin
rahta hai bandishon mein wo har waqt zist ki
apni qaza ki rakhta bashar kuchh KHabar nahin
ab itni mahwiyat hai hamein tere ishq mein
kaisi KHabar kahan ki KHabar kuchh KHabar nahin
lai hai apne sath jo 'nashtar' shab-e-firaq
is sham ki kab hogi sahar kuchh KHabar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.