jawon se ayan teri haqiqat nahin hoti
javoñ se ayaañ terī haqīqat nahīñ hotī
ā.īne meñ ā.īne kī sūrat nahīñ hotī
kyā shaad rahe dahr meñ bāshinda adam kā
pardes meñ jī lagne kī sūrat nahīñ hotī
murjhā.e hue dil pe jamīñ kis kī nigāheñ
kumhlā.e hue phuul kī qīmat nahīñ hotī
pābandī-e-ā.īn se majbūr haiñ varna
darbāñ ko asīroñ se adāvat nahīñ hotī
maiñ qaid meñ huuñ aur tasavvur mirā bāhar
majbūr kī majbūr tabī.at nahīñ hotī
sab kahte haiñ ā.īna-sifat hai ye dil apnā
aur aa.ine meñ gard-e-kudūrat nahīñ hotī
jawon se ayan teri haqiqat nahin hoti
aaine mein aaine ki surat nahin hoti
kya shad rahe dahr mein bashinda adam ka
pardes mein ji lagne ki surat nahin hoti
murjhae hue dil pe jamin kis ki nigahen
kumhlae hue phul ki qimat nahin hoti
pabandi-e-ain se majbur hain warna
darban ko asiron se adawat nahin hoti
main qaid mein hun aur tasawwur mera bahar
majbur ki majbur tabiat nahin hoti
sab kahte hain aaina-sifat hai ye dil apna
aur aaine mein gard-e-kudurat nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.