jhonpaDon par muflisi ke KHub chillati hai dhup
jhonpaDon par muflisi ke KHub chillati hai dhup
Nazakat Ullah Khan Faiz
MORE BYNazakat Ullah Khan Faiz
jhoñpaḌoñ par muflisī ke ḳhuub chillātī hai dhuup
haañ magar dekhā ki zardāroñ se sharmātī hai dhuup
gardishoñ se thak ke ghar meñ jab paḌā rahtā huuñ maiñ
sahn-e-ḳhāna meñ mire talvoñ ko sahlātī hai dhuup
chhīn letī hai kabhī chehroñ se gul-shādābiyāñ
aur kabhī ThiThure hue jismoñ ko garmāti hai dhuup
phertī hai bastiyoñ par haath jitne pyaar se
taish meñ utne hī sahrāoñ pe bal khātī hai dhuup
rahm kā ehsās tak fitrat meñ us kī hai gunāh
barhana jismoñ pe aksar aag barsātī hai dhuup
barhana-pā dhuup ko rauñde jo koī nāznīñ
apnī is tauhīn par bhī tilmilā jaatī hai dhuup
chhat na hone se añdheroñ kā nahīñ hotā guzar
ghar meñ 'faizī' ke magar hamdam utar aatī hai dhuup
jhonpaDon par muflisi ke KHub chillati hai dhup
han magar dekha ki zardaron se sharmati hai dhup
gardishon se thak ke ghar mein jab paDa rahta hun main
sahn-e-KHana mein mere talwon ko sahlati hai dhup
chhin leti hai kabhi chehron se gul-shadabiyan
aur kabhi ThiThure hue jismon ko garmati hai dhup
pherti hai bastiyon par hath jitne pyar se
taish mein utne hi sahraon pe bal khati hai dhup
rahm ka ehsas tak fitrat mein us ki hai gunah
barhana jismon pe aksar aag barsati hai dhup
barhana-pa dhup ko raunde jo koi naznin
apni is tauhin par bhi tilmila jati hai dhup
chhat na hone se andheron ka nahin hota guzar
ghar mein 'faizi' ke magar hamdam utar aati hai dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.