jhukte nahin sar yun kisi shamshir ke aage
jhukte nahin sar yun kisi shamshir ke aage
Maqsood Alam Khan Alam Barelvi
MORE BYMaqsood Alam Khan Alam Barelvi
jhukte nahīñ sar yuuñ kisī shamshīr ke aage
bas chaltā nahīñ koī bhī taqdīr ke aage
us kā koī bandhan to na thā rāh-e-vafā meñ
ḳhud paañv mire aa ga.e zanjīr ke aage
uf terī nazar bhī to qayāmat kī nazar thī
dil kaise bachātā koī us tiir ke aage
ghabrātā hai tanhā.ī kī rātoñ se mirā dil
rotā huuñ maiñ ghanToñ terī tasvīr ke aage
aa jā.egā ulfat kā yaqīñ un ko yaqīnan
rakh dūñgā kisī roz jigar chiir ke aage
badlā na merā ranj-o-alam haa.e re qismat
dil aur machal jaatā hai dil-gīr ke aage
maanā ki tirī zindagī āsāñ nahīñ 'ālam'
mushkil bhī to mushkil nahīñ tadbīr ke aage
jhukte nahin sar yun kisi shamshir ke aage
bas chalta nahin koi bhi taqdir ke aage
us ka koi bandhan to na tha rah-e-wafa mein
KHud panw mere aa gae zanjir ke aage
uf teri nazar bhi to qayamat ki nazar thi
dil kaise bachata koi us tir ke aage
ghabraata hai tanhai ki raaton se mera dil
rota hun main ghanTon teri taswir ke aage
aa jaega ulfat ka yaqin un ko yaqinan
rakh dunga kisi roz jigar chir ke aage
badla na mera ranj-o-alam hae re qismat
dil aur machal jata hai dil-gir ke aage
mana ki teri zindagi aasan nahin 'alam'
mushkil bhi to mushkil nahin tadbir ke aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.