jite ji KHud se mohabbat mein guzarna hai mujhe
jiite jī ḳhud se mohabbat meñ guzarnā hai mujhe
sūrat-e-mauj-e-ravāñ miT ke ubharnā hai mujhe
yaad meñ un kī maiñ ḳhūñ-nāba-fashāñ kyoñ na rahūñ
rang ab ishq kī tasvīr meñ bharnā hai mujhe
ḳhizr haiñ vo ki thī jin ko havas-e-āb-e-hayāt
behtar-az-zīst tire ishq meñ marnā hai mujhe
har shab is hiile se aatī hai chaman meñ shabnam
motiyoñ se muñh har ik phuul kā bharnā hai mujhe
vāda-e-dīd uThā rakhte ho kyoñ mahshar par
saaf ye kyoñ nahīñ kahte ki sañvarnā hai mujhe
saañs ko chalte hue dekh ke maiñ jaan gayā
jāma-e-umr isī qaiñchī se katarnā hai mujhe
zauq-āgīñ maiñ ġhazal kyoñ na sunā.ūñ 'zā.iq'
naam hai jaisā mirā kaam bhī karnā hai mujhe
jite ji KHud se mohabbat mein guzarna hai mujhe
surat-e-mauj-e-rawan miT ke ubharna hai mujhe
yaad mein un ki main KHun-naba-fashan kyon na rahun
rang ab ishq ki taswir mein bharna hai mujhe
KHizr hain wo ki thi jin ko hawas-e-ab-e-hayat
behtar-az-zist tere ishq mein marna hai mujhe
har shab is hile se aati hai chaman mein shabnam
motiyon se munh har ek phul ka bharna hai mujhe
wada-e-did uTha rakhte ho kyon mahshar par
saf ye kyon nahin kahte ki sanwarna hai mujhe
sans ko chalte hue dekh ke main jaan gaya
jama-e-umr isi qainchi se katarna hai mujhe
zauq-agin main ghazal kyon na sunaun 'zaiq'
nam hai jaisa mera kaam bhi karna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.