jin ke achchhe hain sanam un ke karam achchhe hain
jin ke achchhe haiñ sanam un ke karam achchhe haiñ
un ke achchhe haiñ karam jin ke sanam achchhe haiñ
tere kūche ke maze kab ko samajhtā vaa.iz
us kī taskīñ ke liye zikr-e-iram achchhe haiñ
justujū kījiye kitnī hī nahīñ milte vo
haañ unheñ milte haiñ bas jin ke karam achchhe haiñ
kaam aa.eñ bhī kisī ke to na ehsān rakheñ
ahl-e-duniyā se to patthar ke sanam achchhe haiñ
dil meñ kamtar jinheñ hone kā hai ehsās vahī
sab se kahte haiñ vo duniyā meñ ki ham achchhe haiñ
yuuñ to gintī meñ hazāroñ haiñ bharī ḳhūbī magar
kaam duniyā ke agar aa.eñ to ham achchhe haiñ
ḳhūgar-e-rasm-e-sitam maiñ huā 'dīvān' ab to
al-ġharaz apne liye ahl-e-sitam achchhe haiñ
jin ke achchhe hain sanam un ke karam achchhe hain
un ke achchhe hain karam jin ke sanam achchhe hain
tere kuche ke maze kab ko samajhta waiz
us ki taskin ke liye zikr-e-iram achchhe hain
justuju kijiye kitni hi nahin milte wo
han unhen milte hain bas jin ke karam achchhe hain
kaam aaen bhi kisi ke to na ehsan rakhen
ahl-e-duniya se to patthar ke sanam achchhe hain
dil mein kamtar jinhen hone ka hai ehsas wahi
sab se kahte hain wo duniya mein ki hum achchhe hain
yun to ginti mein hazaron hain bhari KHubi magar
kaam duniya ke agar aaen to hum achchhe hain
KHugar-e-rasm-e-sitam main hua 'diwan' ab to
al-gharaz apne liye ahl-e-sitam achchhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.