jis ghaDi aql ne kuchh hosh mein lana chaha
jis ghaḌī aql ne kuchh hosh meñ laanā chāhā
dil ne dīvāna mujhe aur banānā chāhā
dil se majbūr hue garche bhulānā chāhā
rāz-e-ulfat na chhupā laakh chhupānā chāhā
zahr sī chiiz bhī DhūñDhe se nahīñ hai miltī
maiñ ne ghabrā ke kabhī zahr jo khanā chāhā
ab to jiinā hai bahar-hāl mujhe hīn-e-hayāt
zālim is maut ne kyā kyā na bahānā chāhā
nīchī nazroñ ke salām aa.e musalsal us dam
uTh ke mahfil se kabhī maiñ ne jo jaanā chāhā
baḳhshī fitrat meñ lachak kitnī ḳhudā ne dekho
sar-buland aur huā jis ne girānā chāhā
dard andoh alam aur jame baiThe rahe
shām-e-furqat meñ unheñ jitnā bhagāna chāhā
us kī miTTī huī barbād gayā jaan se vo
jis ne kūche meñ tire aa ke Thikānā chāhā
kaun kahtā hai ki tadbīr se taqdīr bane
na banī ham ne use laakh banānā chāhā
ek ham hī to nahīñ ahl-e-hunar the phir kyoñ
ahl-e-mahfil ne mujhe sadr banānā chāhā
yuuñ bhī fankāroñ meñ 'dīvān' kī izzat hai magar
shā.erī ne use kuchh aur baḌhānā chāhā
jis ghaDi aql ne kuchh hosh mein lana chaha
dil ne diwana mujhe aur banana chaha
dil se majbur hue garche bhulana chaha
raaz-e-ulfat na chhupa lakh chhupana chaha
zahr si chiz bhi DhunDhe se nahin hai milti
main ne ghabra ke kabhi zahr jo khana chaha
ab to jina hai bahar-haal mujhe hin-e-hayat
zalim is maut ne kya kya na bahana chaha
nichi nazron ke salam aae musalsal us dam
uTh ke mahfil se kabhi main ne jo jaana chaha
baKHshi fitrat mein lachak kitni KHuda ne dekho
sar-buland aur hua jis ne girana chaha
dard andoh alam aur jame baiThe rahe
sham-e-furqat mein unhen jitna bhagana chaha
us ki miTTi hui barbaad gaya jaan se wo
jis ne kuche mein tere aa ke Thikana chaha
kaun kahta hai ki tadbir se taqdir bane
na bani hum ne use lakh banana chaha
ek hum hi to nahin ahl-e-hunar the phir kyon
ahl-e-mahfil ne mujhe sadr banana chaha
yun bhi fankaron mein 'diwan' ki izzat hai magar
shaeri ne use kuchh aur baDhana chaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.