jis ghaDi rah-e-pur-Khaar maine chuni sath usne bhi azm-e-safar kar liya
jis ghaDi rah-e-pur-Khaar maine chuni sath usne bhi azm-e-safar kar liya
Firoz Natiq Khusro
MORE BYFiroz Natiq Khusro
jis ghaḌī rāh-e-pur-ḳhār maiñ ne chunī saath us ne bhī azm-e-safar kar liyā
sub.h sūraj nikalne se pahle chale, jis jagah ho ga.ī raat ghar kar liyā
dam-ba-dam ek dīvār uThtī ga.ī ik chhurī merā siina khurachtī ga.ī
jaise jaise ghuTan shahr kī baḌh chalī maiñ ne dil meñ nayā ek dar kar liyā
ik sadā mere kānoñ meñ aatī rahī ik balā naam le kar bulātī rahī
muḌ ke dekhā na maiñ ne kabhī raah meñ jo safar tai kiyā be-ḳhatar kar liyā
zindagī apnī guzrī hai dukh bāñTte, baaḌh kāñToñ kī har har qadam chhāñTte
hijr kī fasl palkoñ tale kāTte jo bhī koh-e-girāñ thā vo sar kar liyā
un ke aane kī phailī ḳhabar chār-sū aa.ine mah jabīnoñ ke haiñ rū-ba-rū
maiñ ne bhī un ke chehre pe Daalī nazar raushnī ko asīr-e-nazar kar liyā
log aate haiñ merā pata pūchhte mere sheroñ ko paḌh kar tujhe DhūñDte
tujh pe mere suḳhan kā na jaadū chalā maiñ ne duniyā duniyā ko asar kar liyā
hāsidoñ ke maiñ tā'noñ kā suntā rahā, reza reza vajūd apnā chintā rahā
bārish-e-sañg meñ bhī na pīchhe haTā, maiñ ne us dil ko patthar kā ghar kar liyā
gum-shuda rāstoñ kā pata haath meñ, biitī yādoñ kā basta liye saath meñ
maiñ ne sahrā ko apnā ta'āruf kiyā aur qalam apnā dast-e-hunar kar liyā
maiñ ne ḳhud ko mahloñ meñ bāñTā nahīñ, maiñ ne ḳhānoñ meñ logoñ ko chhāñTā nahīñ
mujh ko dād-e-suḳhan se ġharaz ab nahīñ maiñ ne harf-e-suḳhan mo'atabar kar liyā
'umr baḌhtī ga.ī juuñ juuñ māñ-bāp kii, āmad-o-raft mahdūd hotī ga.ī
baiThe baiThe dar-o-bām takte rahe bolnā-chālnā muḳhtasar kar liyā
dhīre dhīre chaTTāneñ pighaltī rahīñ qatra qatra samundar nigaltī rahīñ
vo jo aañsū na Dhalkā kabhī gaal par, us ko dil ke sadaf ne guhar kar liyā
baap kī DaañT bhī mujh ko aisī milī jaise maañ kī mohabbat kī misrī Dalī
qufl dil kī tijorī ko maiñ ne kiyā aur mahfūz ye māl-o-zar kar liyā
mausamoñ ke ġhazab se bachāte hue, apnī bāhoñ kā halqa banāte hue
dukh uThā.e jahāñ merī maañ ne bahut, apne āñgan kā paudā shajar kar liyā
maiñ ne bachpan guzārā hai apnā yahāñ us ke saa.e meñ pal kar huā maiñ javāñ
kaise bhūlūñ maiñ 'ḳhusrav' ye kachchā makāñ, us makāñ ne mire dil meñ ghar kar liyā
jis ghaDi rah-e-pur-KHar main ne chuni sath us ne bhi azm-e-safar kar liya
subh suraj nikalne se pahle chale, jis jagah ho gai raat ghar kar liya
dam-ba-dam ek diwar uThti gai ek chhuri mera sina khurachti gai
jaise jaise ghuTan shahr ki baDh chali main ne dil mein naya ek dar kar liya
ek sada mere kanon mein aati rahi ek bala nam le kar bulati rahi
muD ke dekha na main ne kabhi rah mein jo safar tai kiya be-KHatar kar liya
zindagi apni guzri hai dukh banTte, baDh kanTon ki har har qadam chhanTte
hijr ki fasl palkon tale kaTte jo bhi koh-e-giran tha wo sar kar liya
un ke aane ki phaili KHabar chaar-su aaine mah jabinon ke hain ru-ba-ru
main ne bhi un ke chehre pe Dali nazar raushni ko asir-e-nazar kar liya
log aate hain mera pata puchhte mere sheron ko paDh kar tujhe DhunDte
tujh pe mere suKHan ka na jadu chala main ne duniya duniya ko asar kar liya
hasidon ke main ta'non ka sunta raha, reza reza wajud apna chinta raha
barish-e-sang mein bhi na pichhe haTa, main ne us dil ko patthar ka ghar kar liya
gum-shuda raston ka pata hath mein, biti yaadon ka basta liye sath mein
main ne sahra ko apna ta'aruf kiya aur qalam apna dast-e-hunar kar liya
main ne KHud ko mahlon mein banTa nahin, main ne KHanon mein logon ko chhanTa nahin
mujh ko dad-e-suKHan se gharaz ab nahin main ne harf-e-suKHan mo'atabar kar liya
'umr baDhti gai jun jun man-bap ki, aamad-o-raft mahdud hoti gai
baiThe baiThe dar-o-baam takte rahe bolna-chaalna muKHtasar kar liya
dhire dhire chaTTanen pighalti rahin qatra qatra samundar nigalti rahin
wo jo aansu na Dhalka kabhi gal par, us ko dil ke sadaf ne guhar kar liya
bap ki DanT bhi mujh ko aisi mili jaise man ki mohabbat ki misri Dali
qufl dil ki tijori ko main ne kiya aur mahfuz ye mal-o-zar kar liya
mausamon ke ghazab se bachate hue, apni bahon ka halqa banate hue
dukh uThae jahan meri man ne bahut, apne aangan ka pauda shajar kar liya
main ne bachpan guzara hai apna yahan us ke sae mein pal kar hua main jawan
kaise bhulun main 'KHusraw' ye kachcha makan, us makan ne mere dil mein ghar kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.