jo apni palkon pe aansu sajae rakhte hain
jo apnī palkoñ pe aañsū sajā.e rakhte haiñ
vo āstīnoñ meñ ḳhanjar chhupā.e rakhte haiñ
jinheñ sikhāyā thā tahzīb kā sabaq ham ne
hamāre baare meñ sañgīn raa.e rakhte haiñ
ridā-e-sabr meñ lipTe hue ye sant faqīr
samasyāoñ kā uttam upaa.e rakhte haiñ
vafā ke ḳhuun kī surḳhī ke saath chehre par
ham un kī yaad ke zevar sajā.e rakhte haiñ
marīz-rañgoñ meñ apne ye barg-hā-e-ḳhizāñ
hayāt-e-nau kā tabassum chhupā.e rakhte haiñ
ye husn-e-fikr hai arbāb-e-nazar kā ki sadā
sukūt meñ bhī ishāre kinā.e rakhte haiñ
ġhurūr se tirī gardan tanī huī kyoñ hai
ki sar to kāñdhoñ pe ham bhī uThā.e rakhte haiñ
jo apni palkon pe aansu sajae rakhte hain
wo aastinon mein KHanjar chhupae rakhte hain
jinhen sikhaya tha tahzib ka sabaq hum ne
hamare bare mein sangin rae rakhte hain
rida-e-sabr mein lipTe hue ye sant faqir
samasyaon ka uttam upae rakhte hain
wafa ke KHun ki surKHi ke sath chehre par
hum un ki yaad ke zewar sajae rakhte hain
mariz-rangon mein apne ye barg-ha-e-KHizan
hayat-e-nau ka tabassum chhupae rakhte hain
ye husn-e-fikr hai arbab-e-nazar ka ki sada
sukut mein bhi ishaare kinae rakhte hain
ghurur se teri gardan tani hui kyon hai
ki sar to kandhon pe hum bhi uThae rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.