Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi paDta hai

Jagan Nath Azad

jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi paDta hai

Jagan Nath Azad

MORE BYJagan Nath Azad

    jo dil raaz be-āh-o-fuġhāñ kahnā paḌtā hai

    to phir apne qafas ko āshiyāñ kahnā paḌtā hai

    tujhe ai tā.ir-e-shāḳh-e-nasheman kyā ḳhabar is

    kabhī sayyād ko bhī bāġhbāñ kahnā paḌtā hai

    ye duniyā hai yahāñ har kaam chaltā hai salīqe se

    yahāñ patthar ko bhī la.al-e-girāñ kahnā paḌtā hai

    ba-faiz-e-maslahat aisā bhī hotā hai zamāne meñ

    ki rahzan ko amīr-e-kārvāñ kahnā paḌtā hai

    muravvat qasam terī ḳhushī ke vāste aksar

    sarāb-e-dasht ko āb-e-ravāñ kahnā paḌtā hai

    zabānoñ par diloñ baat jab ham nahīñ sakte

    jafā ko phir vafā dāstāñ kahnā paḌtā hai

    na pūchho kyā guzartī hai dil-e-ḳhuddār par aksar

    kisī be-mehr ko jab mehrbāñ kahnā paḌtā hai

    jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi paDta hai

    to phir apne qafas ko aashiyan kahna hi paDta hai

    tujhe ai tair-e-shaKH-e-nasheman kya KHabar is ki

    kabhi sayyaad ko bhi baghban kahna hi paDta hai

    ye duniya hai yahan har kaam chalta hai saliqe se

    yahan patthar ko bhi lal-e-giran kahna hi paDta hai

    ba-faiz-e-maslahat aisa bhi hota hai zamane mein

    ki rahzan ko amir-e-karwan kahna hi paDta hai

    murawwat ki qasam teri KHushi ke waste aksar

    sarab-e-dasht ko aab-e-rawan kahna hi paDta hai

    zabanon par dilon ki baat jab hum la nahin sakte

    jafa ko phir wafa ki dastan kahna hi paDta hai

    na puchho kya guzarti hai dil-e-KHuddar par aksar

    kisi be-mehr ko jab mehrban kahna hi paDta hai

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B-356 E370)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now