jo har dam zehn mein chubhti hai wo silwaT nahin jati

jo har dam zehn mein chubhti hai wo silwaT nahin jati
Khan Ateeq Afridi
MORE BYKhan Ateeq Afridi
jo har dam zehn meñ chubhtī hai vo silvaT nahīñ jaatī
ki bistar par bhī mere dil kī ghabrāhaT nahīñ jaatī
maiñ apnī zindagī se barsar-e-paikār huuñ phir bhī
anā ke sahn se ehsās kī aahaT nahīñ jaatī
sar-e-maġhrūr ko chaukhaT kī 'azmat khīñch letī hai
kisī kā sar jhukāne ke liye chaukhaT nahīñ jaatī
maiñ rakkhūñ laakh mīThe bol chun kar apne hoñToñ par
magar lahje se sachchā.ī kī kaḌvāhaT nahīñ jaatī
batā detī hai hāl-e-dil nigāh-e-muztarib un kī
pareshāñ ho ke 'āriz kī taraf ab laT nahīñ jaatī
samajhtā huuñ ki vo ik baar aa kar phir nahīñ aa.e
magar qadmoñ kī un ke aaj tak aahaT nahīñ jaatī
jalā.eñge diloñ ko tā-ba-kai sho'le mazālim ke
fazā kyoñ garm aahoñ ke dhueñ se aT nahīñ jaatī
agar phūloñ kī sejoñ par vo mahv-e-ḳhvāb rahte haiñ
to kyā kāñToñ ke bistar par mirī shab kaT nahīñ jaatī
'atīq' achchhā nahīñ hotā ġhurūr apne baḌe-pan kā
buzurgoñ ke qadam chhūne se 'azmat ghaT nahīñ jaatī
jo har dam zehn mein chubhti hai wo silwaT nahin jati
ki bistar par bhi mere dil ki ghabrahaT nahin jati
main apni zindagi se barsar-e-paikar hun phir bhi
ana ke sahn se ehsas ki aahaT nahin jati
sar-e-maghrur ko chaukhaT ki 'azmat khinch leti hai
kisi ka sar jhukane ke liye chaukhaT nahin jati
main rakkhun lakh miThe bol chun kar apne honTon par
magar lahje se sachchai ki kaDwahaT nahin jati
bata deti hai haal-e-dil nigah-e-muztarib un ki
pareshan ho ke 'ariz ki taraf ab laT nahin jati
samajhta hun ki wo ek bar aa kar phir nahin aae
magar qadmon ki un ke aaj tak aahaT nahin jati
jalaenge dilon ko ta-ba-kai sho'le mazalim ke
faza kyon garm aahon ke dhuen se aT nahin jati
agar phulon ki sejon par wo mahw-e-KHwab rahte hain
to kya kanTon ke bistar par meri shab kaT nahin jati
'atiq' achchha nahin hota ghurur apne baDe-pan ka
buzurgon ke qadam chhune se 'azmat ghaT nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.