jo karta rahta hun ab jhagDe apne aap se main
jo kartā rahtā huuñ ab jhagḌe apne aap se maiñ
banā rahā huuñ na.e rishte apne aap se maiñ
maiñ tere hijr se pahle bhī ek hijr meñ thā
tū bichhḌā baa'd meñ aur pahle apne aap se maiñ
batā rahā hai mire pīchhe uḌne vaalā ġhubār
nikal gayā huuñ kahīñ aage apne aap se maiñ
tumhāre saath to har haal meñ vafā kī hai
agarche kartā rahā dhoke apne aap se maiñ
maiñ apne aap se kartā huuñ mā'zarat pahle
nahīñ karūñgā koī vā'de apne aap se maiñ
mirā vujūd achānak alag huā mujh se
kahīñ pe jaane lagā jaise apne aap se maiñ
maiñ itnā bhāgā ki manzil bhī rah ga.ī pīchhe
'zahūr' kaTtā gayā aise apne aap se meñ
jo karta rahta hun ab jhagDe apne aap se main
bana raha hun nae rishte apne aap se main
main tere hijr se pahle bhi ek hijr mein tha
tu bichhDa ba'd mein aur pahle apne aap se main
bata raha hai mere pichhe uDne wala ghubar
nikal gaya hun kahin aage apne aap se main
tumhaare sath to har haal mein wafa ki hai
agarche karta raha dhoke apne aap se main
main apne aap se karta hun ma'zarat pahle
nahin karunga koi wa'de apne aap se main
mera wujud achanak alag hua mujh se
kahin pe jaane laga jaise apne aap se main
main itna bhaga ki manzil bhi rah gai pichhe
'zahur' kaTta gaya aise apne aap se mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.