jo kuchh dekha aur samjha hai nazr-e-lauh-o-qalam karta hun
jo kuchh dekha aur samjha hai nazr-e-lauh-o-qalam karta hun
Naeem Sameer
MORE BYNaeem Sameer
jo kuchh dekhā aur samjhā hai nazr-e-lauh-o-qalam kartā huuñ
ya.anī chashm-e-hairat par maiñ sachche ḳhvāb raqam kartā huuñ
pahle merī dānā.ī par koī vahshat chhā jaatī hai
aur phir puurī quvvat se maiñ us kī shiddat kam kartā huuñ
zaḳhm-e-malāmat nochte rahnā vaise bhī to be-masraf hai
jitnā ho saktā hai mujh se bas utnā hī ġham kartā huuñ
yuuñ to saare jag se laḌ kar maiñ ne ḳhud ko manvāyā hai
lekin ik goshe meñ apne hone kā mātam kartā huuñ
dil aur duniyā ek jagah par yaksāñ raushan kab hote haiñ
ek charāġh kī lau bhaḌkā kar ek diyā maddham kartā huuñ
varna 'samīr' is sannāTe meñ koī kaise rah saktā hai
jis had tak mumkin ho mujh se āvāzeñ paiham kartā huuñ
jo kuchh dekha aur samjha hai nazr-e-lauh-o-qalam karta hun
yani chashm-e-hairat par main sachche KHwab raqam karta hun
pahle meri danai par koi wahshat chha jati hai
aur phir puri quwwat se main us ki shiddat kam karta hun
zaKHm-e-malamat nochte rahna waise bhi to be-masraf hai
jitna ho sakta hai mujh se bas utna hi gham karta hun
yun to sare jag se laD kar main ne KHud ko manwaya hai
lekin ek goshe mein apne hone ka matam karta hun
dil aur duniya ek jagah par yaksan raushan kab hote hain
ek charagh ki lau bhaDka kar ek diya maddham karta hun
warna 'samir' is sannaTe mein koi kaise rah sakta hai
jis had tak mumkin ho mujh se aawazen paiham karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.