karwan walon ne kho di KHud hi apni aabru
kārvāñ vāloñ ne kho dī ḳhud hī apnī aabrū
lailā-e-mahmil-nashīñ ko pā-ba-jaulāñ laa.e haiñ
qais kī ġhairat kā miltā hī nahīñ koī surāġh
kuchh bagūle DhūñD kar sahrā-ba-sahrā aa.e haiñ
Das liyā hai raushnī ne de ke javoñ kā fareb
saañp kitne us ke ujle ruup meñ lahrā.e haiñ
aa.ine TuuTe haiñ kitne dekh kar un kā jamāl
aap apnī ārzū-e-husn par sharmā.e haiñ
kaun jaane ho chuke maslūb kitne ashk-e-ġham
kitnī fariyādoñ ke dil husn-e-talab ne Dhaa.e haiñ
kitnī zanjīroñ ke halqe pāyaloñ meñ Dhal ga.e
shabnamī āñkhoñ meñ raqsāñ bebasī ke saa.e haiñ
'baḳht' shikva kyā kareñ ahl-e-sitam ke jaur kā
ahl-e-dil ne giit marg-e-ābrū par gaa.e haiñ
karwan walon ne kho di KHud hi apni aabru
laila-e-mahmil-nashin ko pa-ba-jaulan lae hain
qais ki ghairat ka milta hi nahin koi suragh
kuchh bagule DhunD kar sahra-ba-sahra aae hain
Das liya hai raushni ne de ke jawon ka fareb
sanp kitne us ke ujle rup mein lahrae hain
aaine TuTe hain kitne dekh kar un ka jamal
aap apni aarzu-e-husn par sharmae hain
kaun jaane ho chuke maslub kitne ashk-e-gham
kitni fariyaadon ke dil husn-e-talab ne Dhae hain
kitni zanjiron ke halqe payalon mein Dhal gae
shabnami aankhon mein raqsan bebasi ke sae hain
'baKHt' shikwa kya karen ahl-e-sitam ke jaur ka
ahl-e-dil ne git marg-e-abru par gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.