kab juda hai mujhse dilbar kab main dilbar se juda
kab juda hai mujhse dilbar kab main dilbar se juda
Nawab Nazeer Al-Daula
MORE BYNawab Nazeer Al-Daula
kab judā hai mujh se dilbar kab maiñ dilbar se judā
ho na gauhar aab se aur aab gauhar se judā
ruuh tan se jaañ badan se hosh hai sar se judā
kyā kashākash meñ phañsā huuñ jab se dilbar se judā
ho ga.ī barbād miTTī mil gayā maiñ ḳhaak meñ
jab huā naqsh-e-qadam kī tarah us dar se judā
hashr meñ kis kī garebāñ-gīr hogī ai ḳhudā
kyoñ huī ḳhaak apnī dāmān-e-sitamgar se judā
kyā hī tāle.a kā sitāra hai nahūsat meñ mirā
ho gayā vo maah jaise mujh bad-aḳhtar se judā
laḳht-e-dil aage chalā pīchhe ravāñ hai fauj-e-ashk
ho nahīñ saktā ye lashkar apne afsar se judā
jāgne se ġhair ke hamdam kaheñ kyā raat bhar
ham ko vo tarse judā aur un ko ham tarse judā
josh par hai chashm-e-tar vahshat na le jā so.e dasht
mausam-e-bārish meñ ham hoñ kis tarah ghar se judā
kab bache jab bahr-e-shor-afzā meñ ik tifl-e-saġhīr
ho talātum meñ kahīñ dast-e-shanāvar se judā
paa.e vo qa.ar-e-jahannum meñ jagah apnī vahāñ
yaañ ho jis kā haath dāmān-e-payambar se judā
garche hai kam-fursatī 'daula' ġhazal kah aur bhī
in dinoñ az-bas hai tū shoḳh-e-sitamgar se judā
kab juda hai mujh se dilbar kab main dilbar se juda
ho na gauhar aab se aur aab gauhar se juda
ruh tan se jaan badan se hosh hai sar se juda
kya kashakash mein phansa hun jab se dilbar se juda
ho gai barbaad miTTi mil gaya main KHak mein
jab hua naqsh-e-qadam ki tarah us dar se juda
hashr mein kis ki gareban-gir hogi ai KHuda
kyon hui KHak apni daman-e-sitamgar se juda
kya hi talea ka sitara hai nahusat mein mera
ho gaya wo mah jaise mujh bad-aKHtar se juda
laKHt-e-dil aage chala pichhe rawan hai fauj-e-ashk
ho nahin sakta ye lashkar apne afsar se juda
jagne se ghair ke hamdam kahen kya raat bhar
hum ko wo tarse juda aur un ko hum tarse juda
josh par hai chashm-e-tar wahshat na le ja soe dasht
mausam-e-barish mein hum hon kis tarah ghar se juda
kab bache jab bahr-e-shor-afza mein ek tifl-e-saghir
ho talatum mein kahin dast-e-shanawar se juda
pae wo qar-e-jahannum mein jagah apni wahan
yan ho jis ka hath daman-e-payambar se juda
garche hai kam-fursati 'daula' ghazal kah aur bhi
in dinon az-bas hai tu shoKH-e-sitamgar se juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.