Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi makan ki taraf hai kabhi makin ki taraf

Ghulam Husain Sajid

kabhi makan ki taraf hai kabhi makin ki taraf

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    Interesting Fact

    14th May, 2004, Lahore

    kabhī makāñ taraf hai kabhī makīñ taraf

    kisī ruḳh hai azal se mirī zamīñ taraf

    charāġh-e-lāla hai raushan na surḳh rū-e-hinā

    fazā-e-sehn-e-gulistāñ hai yāsmīñ taraf

    mire badan ne bhī is faisle pe saad kiyā

    ki dāġh-e-sajda rahegā faqat jabīñ taraf

    tuyūr-e-ḳhvāb hoñ ā.īne hoñ sitāre hoñ

    ravāñ-davāñ haiñ sabhī arsh-e-nīlamīñ taraf

    huā hai koī agar faisla mire haq meñ

    kabhī maiñ haañ taraf thā kabhī nahīñ taraf

    badal na pā.ūñgā maiñ āsmāñ badalne se

    mirā jhukāv rahegā usī hasīñ taraf

    dayār-e-dil añdherā agar chhaTā 'sājid'

    to dhyān jā.egā us sham-e-avvalīñ taraf

    kabhi makan ki taraf hai kabhi makin ki taraf

    kisi ka ruKH hai azal se meri zamin ki taraf

    charagh-e-lala hai raushan na surKH ru-e-hina

    faza-e-sehn-e-gulistan hai yasmin ki taraf

    mere badan ne bhi is faisle pe sad kiya

    ki dagh-e-sajda rahega faqat jabin ki taraf

    tuyur-e-KHwab hon aaine hon sitare hon

    rawan-dawan hain sabhi arsh-e-nilamin ki taraf

    hua hai koi agar faisla mere haq mein

    kabhi main han ki taraf tha kabhi nahin ki taraf

    badal na paunga main aasman badalne se

    mera jhukaw rahega usi hasin ki taraf

    dayar-e-dil ka andhera agar chhaTa 'sajid'

    to dhyan jaega us sham-e-awwalin ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now