Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi shadman kabhi pur-alam tumhein yaad ho ki na yaad ho

Gauhar Usmani

kabhi shadman kabhi pur-alam tumhein yaad ho ki na yaad ho

Gauhar Usmani

MORE BYGauhar Usmani

    kabhī shādmāñ kabhī pur-alam tumheñ yaad ho ki na yaad ho

    vo karam ke ruup meñ ik sitam tumheñ yaad ho ki na yaad ho

    vahī ahd-e-rasm-o-rah-e-vafā vo dil-o-nazar mo.āmla

    mujhe yaad hai mire mohtaram tumheñ yaad ho ki na yaad ho

    vahī ġhuncha ġhuncha-o-gul-ba-gul vahī ruḳh-ba-ruḳh vahī dil-ba-dil

    kabhī the chaman bahār ham tumheñ yaad ho ho ki na yaad ho

    vo fusūñ-tarāz ik nazar kabhī muntazir kabhī muntazir

    vo fasāna-sāz shab-e-alam tumheñ yaad ho ki na yaad ho

    kabhī vo tabassum-e-zer-e-lab kabhī ḳhāmushī vo be-sabab

    kabhī sarḳhushī kabhī aañkh nam tumheñ yaad ho ki na yaad ho

    kabhi shadman kabhi pur-alam tumhein yaad ho ki na yaad ho

    wo karam ke rup mein ek sitam tumhein yaad ho ki na yaad ho

    wahi ahd-e-rasm-o-rah-e-wafa wo dil-o-nazar ka moamla

    mujhe yaad hai mere mohtaram tumhein yaad ho ki na yaad ho

    wahi ghuncha ghuncha-o-gul-ba-gul wahi ruKH-ba-ruKH wahi dil-ba-dil

    kabhi the chaman ki bahaar hum tumhein yaad ho ho ki na yaad ho

    wo fusun-taraaz si ek nazar kabhi muntazir kabhi muntazir

    wo fasana-saz shab-e-alam tumhein yaad ho ki na yaad ho

    kabhi wo tabassum-e-zer-e-lab kabhi KHamushi si wo be-sabab

    kabhi sarKHushi kabhi aankh nam tumhein yaad ho ki na yaad ho

    Source :
    • Book : Idraaq (Pg. 113)
    • Author : Gohar Usmani
    • Publication : Gohar Usmani (1993)
    • Edition : 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now