kabhi zamin kabhi aasman banata hun
kabhī zamīn kabhī āsmāñ banātā huuñ
yahāñ maiñ ret pe kitne makāñ banātā huuñ
'ajīb tarz kī tasvīr bantī jaatī hai
ab is meñ dekhnā maiñ dil kahāñ banātā huuñ
makān aag meñ jaltā banā liyā pahle
ab āsmān talak maiñ dhuāñ banātā huuñ
zamīñ pe khīñch ke laatā huuñ abr kā TukḌā
musāfiroñ ke liye sā.ebāñ banātā huuñ
purāne peḌ pe ik saañp kā baserā hai
na.ī jagah pe kahīñ āshiyāñ banātā huuñ
kabhi zamin kabhi aasman banata hun
yahan main ret pe kitne makan banata hun
'ajib tarz ki taswir banti jati hai
ab is mein dekhna main dil kahan banata hun
makan aag mein jalta bana liya pahle
ab aasman talak main dhuan banata hun
zamin pe khinch ke lata hun abr ka TukDa
musafiron ke liye saeban banata hun
purane peD pe ek sanp ka basera hai
nai jagah pe kahin aashiyan banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.