kahin bhi ja ke jo rahte to hum kahan rahte
kahīñ bhī jā ke jo rahte to ham kahāñ rahte
vahī zamīñ pe vahī zer-e-āsmāñ rahte
koī jagah na milī tere vahm se ḳhālī
ye tere dil-shikan ārām se jahāñ rahte
ye aur baat ki ḳhush aa ga.ī tirī sohbat
ham apne faiz-e-tabī.at se bhī javāñ rahte
sanad jo qābiliyat kī hameñ baham aatī
muqāble ke ka.ī aur imtihāñ rahte
na dī zamāne ne mohlat vagarna ham vo the
hamesha ahl-e-mohabbat ke darmiyāñ rahte
qabā.eñ un se banā lī haiñ nā-ḳhudāoñ ne
safar ba-ḳhair thā sālim jo bādbāñ rahte
pahāḌ rāsta 'shaukat' zarūr de dete
na jazb jharne jo hote ravāñ-davāñ rahte
kahin bhi ja ke jo rahte to hum kahan rahte
wahi zamin pe wahi zer-e-asman rahte
koi jagah na mili tere wahm se KHali
ye tere dil-shikan aaram se jahan rahte
ye aur baat ki KHush aa gai teri sohbat
hum apne faiz-e-tabiat se bhi jawan rahte
sanad jo qabiliyat ki hamein baham aati
muqable ke kai aur imtihan rahte
na di zamane ne mohlat wagarna hum wo the
hamesha ahl-e-mohabbat ke darmiyan rahte
qabaen un se bana li hain na-KHudaon ne
safar ba-KHair tha salim jo baadban rahte
pahaD rasta 'shaukat' zarur de dete
na jazb jharne jo hote rawan-dawan rahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.