kahin maujen sulagti hain kahin tufan jalte hain
kahin maujen sulagti hain kahin tufan jalte hain
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
kahīñ maujeñ sulagtī haiñ kahīñ tūfān jalte haiñ
tirī furqat meñ ham se saikḌoñ insān jalte haiñ
jo kal tak phuul barsāte rahe haiñ apnī rāhoñ meñ
vahī hamdard ab ham se ba-har 'unvān jalte haiñ
ḳhudā ke nek bande aaj bhī sāġhar-ba-kaf nikle
hamārī bāda-noshī se magar shaitān jalte haiñ
hamāre dil bhī ab kuchh is tarah jalte haiñ sīnoñ meñ
amīroñ ke gharoñ meñ jaise ātish-dān jalte haiñ
charāġh-e-ārzū se raushnī hai dil kī bastī meñ
tamanna kī tapish pā kar yahāñ armān jalte haiñ
machalte haiñ idhar saaqī udhar sāġhar khanakte haiñ
guloñ kī sho'la-sāmānī se jab guldān jalte haiñ
shikam kī aag meñ insāniyat ke naam par 'zaidī'
kahīñ mazdūr jalte haiñ kahīñ dahqān jalte haiñ
kahin maujen sulagti hain kahin tufan jalte hain
teri furqat mein hum se saikDon insan jalte hain
jo kal tak phul barsate rahe hain apni rahon mein
wahi hamdard ab hum se ba-har 'unwan jalte hain
KHuda ke nek bande aaj bhi saghar-ba-kaf nikle
hamari baada-noshi se magar shaitan jalte hain
hamare dil bhi ab kuchh is tarah jalte hain sinon mein
amiron ke gharon mein jaise aatish-dan jalte hain
charagh-e-arzu se raushni hai dil ki basti mein
tamanna ki tapish pa kar yahan arman jalte hain
machalte hain idhar saqi udhar saghar khanakte hain
gulon ki sho'la-samani se jab guldan jalte hain
shikam ki aag mein insaniyat ke nam par 'zaidi'
kahin mazdur jalte hain kahin dahqan jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.