kahna hai jo bhi kah do yahin mere kan mein
kahnā hai jo bhī kah do yahīñ mere kaan meñ
dekho bulā.iyo na mujhe sā.ebān meñ
ḳhvāboñ kī sīḌhiyoñ pe nazar rakh ke kyā kareñ
rahtī hai ab to yaad bhī ūñche makān meñ
lahje meñ ek baar to shabnam bhī ghol lo
ye kyā ki lai kī baat lahū kī zabān meñ
sūraj kī ḳhud-kushī kā bhī manzar ajiib thā
bikhrā jo dā.eroñ meñ to simTā chaTān meñ
fikr-e-jamīl jaane kahāñ jā ke so ga.ī
ham DhūñDhte haiñ giit ġhazal kī dukān meñ
sāñsoñ se pūchhtī thiiñ yahī lab kī āhaTeñ
ye to batāo kaisā rahā imtihān meñ
aahoñ ke tiir ashk ke neze to ban ga.e
sho'le simaT ke rah ga.e lekin kamān meñ
kahna hai jo bhi kah do yahin mere kan mein
dekho bulaiyo na mujhe saeban mein
KHwabon ki siDhiyon pe nazar rakh ke kya karen
rahti hai ab to yaad bhi unche makan mein
lahje mein ek bar to shabnam bhi ghol lo
ye kya ki lai ki baat lahu ki zaban mein
suraj ki KHud-kushi ka bhi manzar ajib tha
bikhra jo daeron mein to simTa chaTan mein
fikr-e-jamil jaane kahan ja ke so gai
hum DhunDhte hain git ghazal ki dukan mein
sanson se puchhti thin yahi lab ki aahaTen
ye to batao kaisa raha imtihan mein
aahon ke tir ashk ke neze to ban gae
sho'le simaT ke rah gae lekin kaman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.