kahne ko kamre mein sare yakja baiThe hain
kahne ko kamre meñ saare yakjā baiThe haiñ
apne apne mobile par tanhā baiThe haiñ
apne hī ḳhvāboñ ko karke piñjra baiThe haiñ
karne kyā aa.e the lekin kar kyā baiThe haiñ
jaane kis ke haath lagā chehra jo apnā thā
be-matlab kab se le kar ā.īna baiThe haiñ
ek sabaq raTte to haiñ par yaad nahīñ hotā
tifl-e-maktab kab se khole basta baiThe haiñ
phir vīrān shajar par vo hī raunaq lauTī hai
phir vo panchhī vāpas Dāloñ par aa baiThe haiñ
nāhaq aap nikal aa.e dil kī pagDanDī par
ḳhāroñ meñ ab apnā dāman uljhā baiThe haiñ
tanhā.ī vāhid rasta thā tum tak aane kā
duniyā vaale is par bhī duniyā lā baiThe haiñ
ek samundar bhed chhupā.e jazb kare sab ko
aas lagā.e kab se kitne dariyā baiThe haiñ
roz vahī aahaT vo hī sargoshī bhītar se
apne meñ ham apne se hī uktā baiThe haiñ
shaam se pahle lauT ke ghar aane kī ujlat meñ
sīdhā sā rasta rastoñ meñ uljhā baiThe haiñ
kahne ko kamre mein sare yakja baiThe hain
apne apne mobile par tanha baiThe hain
apne hi KHwabon ko karke pinjra baiThe hain
karne kya aae the lekin kar kya baiThe hain
jaane kis ke hath laga chehra jo apna tha
be-matlab kab se le kar aaina baiThe hain
ek sabaq raTte to hain par yaad nahin hota
tifl-e-maktab kab se khole basta baiThe hain
phir viran shajar par wo hi raunaq lauTi hai
phir wo panchhi wapas Dalon par aa baiThe hain
nahaq aap nikal aae dil ki pagDanDi par
KHaron mein ab apna daman uljha baiThe hain
tanhai wahid rasta tha tum tak aane ka
duniya wale is par bhi duniya la baiThe hain
ek samundar bhed chhupae jazb kare sab ko
aas lagae kab se kitne dariya baiThe hain
roz wahi aahaT wo hi sargoshi bhitar se
apne mein hum apne se hi ukta baiThe hain
sham se pahle lauT ke ghar aane ki ujlat mein
sidha sa rasta raston mein uljha baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.