kai bar unki mahfil mein hamara zikr-e-KHair aaya
kai bar unki mahfil mein hamara zikr-e-KHair aaya
Abdul Aziz Fitrat
MORE BYAbdul Aziz Fitrat
ka.ī baar un kī mahfil meñ hamārā zikr-e-ḳhair aaya
magar iz.hār-e-lutf-e-dost-dārī ke baġhair aaya
samajhtā huuñ ye sang-e-rāh kā'ba hai samajhtā huuñ
magar shaam aa.ī aur maiñ lauT kar phir sū-e-dair aaya
jamāl-e-dost se pur-nūr hai duniyā-e-dil merī
ḳhayāl-e-dost is ghar meñ takalluf ke baġhair aaya
na Dar girdāb-e-ġham kā hai na tūfān-e-havādis kā
dil-e-āzād in maujoñ meñ lākhoñ baar tair aaya
jhalakte haiñ mizha par ashk-e-dil sajde luTātā hai
zabān-e-be-kasī par aaj kis kā zikr-e-ḳhair aaya
rah-e-hastī meñ sau mushkil kī ik mushkil ye thī 'fitrat'
dil-e-nādāñ ne samjhā ye haram hai jab bhī dair aaya
kai bar un ki mahfil mein hamara zikr-e-KHair aaya
magar izhaar-e-lutf-e-dost-dari ke baghair aaya
samajhta hun ye sang-e-rah ka'ba hai samajhta hun
magar sham aai aur main lauT kar phir su-e-dair aaya
jamal-e-dost se pur-nur hai duniya-e-dil meri
KHayal-e-dost is ghar mein takalluf ke baghair aaya
na Dar girdab-e-gham ka hai na tufan-e-hawadis ka
dil-e-azad in maujon mein lakhon bar tair aaya
jhalakte hain mizha par ashk-e-dil sajde luTata hai
zaban-e-be-kasi par aaj kis ka zikr-e-KHair aaya
rah-e-hasti mein sau mushkil ki ek mushkil ye thi 'fitrat'
dil-e-nadan ne samjha ye haram hai jab bhi dair aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.