Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaisa hansta bolta hai har kisi se aadmi

Gobind Ram Bismil Sahni

kaisa hansta bolta hai har kisi se aadmi

Gobind Ram Bismil Sahni

MORE BYGobind Ram Bismil Sahni

    kaisā hañstā boltā hai har kisī se aadmī

    jaise kartā ho mohabbat aadmī se aadmī

    siikh letā hai agar marnā ḳhushī se aadmī

    jhuum uThtā hai ḳhumār-e-zindagī se aadmī

    hai ravāñ husn-o-mohabbat azal se silsila

    aadmī se āshiqī hai āshiqī se aadmī

    haiñ junūñ raah meñ har gaam par āsāniyāñ

    mushkileñ kartā hai paidā āgahī se aadmī

    azmateñ jaisī mohabbat karne vāloñ ko milīñ

    nahīñ saktā kabhī vo be-hisī se aadmī

    is maqsad hai faqat āsūdgī-e-jān-o-dil

    khā kamā saktā nahīñ hai shā.erī se aadmī

    maut to naam yuuñ muft meñ badnām hai

    asl meñ Dartā hai 'bismil' zindagī se aadmī

    kaisa hansta bolta hai har kisi se aadmi

    jaise karta ho mohabbat aadmi se aadmi

    sikh leta hai agar marna KHushi se aadmi

    jhum uThta hai KHumar-e-zindagi se aadmi

    hai rawan husn-o-mohabbat ka azal se silsila

    aadmi se aashiqi hai aashiqi se aadmi

    hain junun ki rah mein har gam par aasaniyan

    mushkilen karta hai paida aagahi se aadmi

    azmaten jaisi mohabbat karne walon ko milin

    pa nahin sakta kabhi wo be-hisi se aadmi

    is ka maqsad hai faqat aasudgi-e-jaan-o-dil

    kha kama sakta nahin hai shaeri se aadmi

    maut ka to nam yun hi muft mein badnam hai

    asl mein Darta hai 'bismil' zindagi se aadmi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now