kaliyan jahan udas hon gul mein phaban na ho
kaliyāñ jahāñ udaas hoñ gul meñ phaban na ho
yā-rab kahīñ bhī aisī bahār-e-chaman na ho
hote nahīñ haiñ ma.arka-e-ishq sar kabhī
dil meñ agar junūñ na ho sar par kafan na ho
ik din zarūr aa.egī phir rut bahār kī
ḳhush merī bebasī pe ai charḳh-e-kuhan na ho
shahr-e-sitamgarāñ hai ye mumkin nahīñ yahāñ
ahl-e-vafā se zīnat-e-dār-o-rasan na ho
kaise vo qaum hogī bhalā kāmyāb aaj
dīñ-dār jis kā dil na ho dil meñ lagan na ho
be faiz har libās hai ai duḳhtarān-e-qaum
pairāhan-e-hayā hī agar zeb-e-tan na ho
bazm-e-tarab sajā.iye yā ġham kī anjuman
pāmāl bas rivāyat-e-gang-o-jaman na ho
is nasl-e-nau se kaise ho ummīd-e-behtarī
jis kā amal na ḳhuub ho behtar chalan na ho
afkār kī uḌaan meñ aa jaatī hai kamī
qaa.em agar tasalsul-e-mashq-e-suḳhan na ho
'ahsan' na honā gardish-e-hālāt se udaas
hai kaun jis kī ziist meñ ranj-o-mehan na ho
kaliyan jahan udas hon gul mein phaban na ho
ya-rab kahin bhi aisi bahaar-e-chaman na ho
hote nahin hain marka-e-ishq sar kabhi
dil mein agar junun na ho sar par kafan na ho
ek din zarur aaegi phir rut bahaar ki
KHush meri bebasi pe ai charKH-e-kuhan na ho
shahr-e-sitamgaran hai ye mumkin nahin yahan
ahl-e-wafa se zinat-e-dar-o-rasan na ho
kaise wo qaum hogi bhala kaamyab aaj
din-dar jis ka dil na ho dil mein lagan na ho
be faiz har libas hai ai duKHtaran-e-qaum
pairahan-e-haya hi agar zeb-e-tan na ho
bazm-e-tarab sajaiye ya gham ki anjuman
pamal bas riwayat-e-gang-o-jaman na ho
is nasl-e-nau se kaise ho ummid-e-behtari
jis ka amal na KHub ho behtar chalan na ho
afkar ki uDan mein aa jati hai kami
qaem agar tasalsul-e-mashq-e-suKHan na ho
'ahsan' na hona gardish-e-haalat se udas
hai kaun jis ki zist mein ranj-o-mehan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.