kami kya hai jalwa-e-yar ki wo kahan nahin wo kidhar nahin
kami kya hai jalwa-e-yar ki wo kahan nahin wo kidhar nahin
Niyaz Gulbargavi
MORE BYNiyaz Gulbargavi
kamī kyā hai jalva-e-yār kī vo kahāñ nahīñ vo kidhar nahīñ
yā nahīñ hai zauq-e-nazar yahāñ yā jahāñ meñ ahl-e-nazar nahīñ
ye bhī sach ki tum mire ho chuke ye bhī sach ki dard-e-jigar nahīñ
ġham-e-ishq go nahīñ sāmne ġham-e-zindagī se mafar nahīñ
ye ajiib hai tirā imtihāñ ki mujhī pe girtī haiñ bijliyāñ
tirī bārgāh-e-jalāl meñ mirī chashm-e-tar kā guzar nahīñ
tū idhar to aa tū nazar to aa mirī chashm-e-shauq ko aazmā
mire hausle to buland haiñ go nazar meñ tāb-e-nazar nahīñ
maiñ rahīn-e-dard-o-sitam idhar tū ba.īd-e-lutf-o-karam udhar
jo bhulā sakā na kabhī tujhe ye sitam hai us pe nazar nahīñ
na vo kushtagān-e-sanam rahe na vo mahramān-e-haram rahe
kahāñ chhup ga.e tire āshnā koī aaj garm-e-safar nahīñ
na vo kārvāñ na vo rahguzar na vo āstāñ na vo sang-e-dar
ye pata nahīñ kahāñ aa ga.e kahāñ jā rahe haiñ ḳhabar nahīñ
kami kya hai jalwa-e-yar ki wo kahan nahin wo kidhar nahin
ya nahin hai zauq-e-nazar yahan ya jahan mein ahl-e-nazar nahin
ye bhi sach ki tum mere ho chuke ye bhi sach ki dard-e-jigar nahin
gham-e-ishq go nahin samne gham-e-zindagi se mafar nahin
ye ajib hai tera imtihan ki mujhi pe girti hain bijliyan
teri bargah-e-jalal mein meri chashm-e-tar ka guzar nahin
tu idhar to aa tu nazar to aa meri chashm-e-shauq ko aazma
mere hausle to buland hain go nazar mein tab-e-nazar nahin
main rahin-e-dard-o-sitam idhar tu baid-e-lutf-o-karam udhar
jo bhula saka na kabhi tujhe ye sitam hai us pe nazar nahin
na wo kushtagan-e-sanam rahe na wo mahraman-e-haram rahe
kahan chhup gae tere aashna koi aaj garm-e-safar nahin
na wo karwan na wo rahguzar na wo aastan na wo sang-e-dar
ye pata nahin kahan aa gae kahan ja rahe hain KHabar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.