Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kanakhiyon se yun jam par jam dena

Bismil Dehlavi

kanakhiyon se yun jam par jam dena

Bismil Dehlavi

MORE BYBismil Dehlavi

    kanakhiyoñ se yuuñ jaam par jaam denā

    mujhe phir na tum koī ilzām denā

    dalīl-e-nigāh-e-marāhim hai ai dil

    mujhe jur.at-e-zabt-e-ālām denā

    taḌap bhī na uTTheñ machal bhī na jaa.eñ

    mire ġham yuuñ un ko paiġhām denā

    mirī dāstān-e-vafā sunñe vaalo

    unheñ be-ruḳhī na ilzām denā

    vo bār-e-ḳhajālat se gardan jhukā leñ

    unheñ koī aisā na paiġhām denā

    rahūñ maiñ zamāne ke fitnoñ se ġhāfil

    mujhe vo mai-e-fikr-e-āshām denā

    maiñ andāza-e-gardish-e-charḳh kar luuñ

    zarā jhuum kar tum mujhe jaam denā

    rihā ho gayā qaid-e-hastī se koī

    unheñ ye naved-e-ḳhush-anjām denā

    hai ye qaum rahbarī aaj 'bismil'

    risāloñ meñ aḳhbāroñ meñ naam denā

    kanakhiyon se yun jam par jam dena

    mujhe phir na tum koi ilzam dena

    dalil-e-nigah-e-marahim hai ai dil

    mujhe jurat-e-zabt-e-alam dena

    taDap bhi na uTThen machal bhi na jaen

    mere gham ka yun un ko paigham dena

    meri dastan-e-wafa sunne walo

    unhen be-ruKHi ka na ilzam dena

    wo bar-e-KHajalat se gardan jhuka len

    unhen koi aisa na paigham dena

    rahun main zamane ke fitnon se ghafil

    mujhe wo mai-e-fikr-e-asham dena

    main andaza-e-gardish-e-charKH kar lun

    zara jhum kar tum mujhe jam dena

    riha ho gaya qaid-e-hasti se koi

    unhen ye nawed-e-KHush-anjam dena

    hai ye qaum ki rahbari aaj 'bismil'

    risalon mein aKHbaron mein nam dena

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now