karam-e-fitrat-e-ahbab wahi hai ki jo tha
karam-e-fitrat-e-ahbab wahi hai ki jo tha
Syed Muzaffar Ahmad Ziya
MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya
karam-e-fitrat-e-ahbāb vahī hai ki jo thā
ya.anī hāl-e-dil-e-betāb vahī hai ki jo thā
raunaq-e-shahr mirī āñkhoñ se dekho logo
ek vīrāna pas-e-ḳhvāb vahī hai ki jo thā
bārhā chheḌā hai sāz-e-rag-e-jāñ ko phir bhī
dil se ik rishta-e-mizrāb vahī hai ki jo thā
ashk-e-ulfat ko hiqārat se na dekho ki ye ashk
aaj bhī gauhar-e-nāyāb vahī hai ki jo thā
yuuñ to har tarah masā.il meñ izāfa hai magar
qissa-e-mimbar-o-mehrāb vahī hai ki jo thā
takiya-e-ḳhāk-e-qanā.at hai idhar aur udhar
bistar-e-atlas-o-kamḳhāb vahī hai ki jo thā
laakh taskīn ke sāmān mayassar haiñ 'ziyā'
ālam-e-dīda-e-be-ḳhvāb vahī hai ki jo thā
karam-e-fitrat-e-ahbab wahi hai ki jo tha
yani haal-e-dil-e-betab wahi hai ki jo tha
raunaq-e-shahr meri aankhon se dekho logo
ek virana pas-e-KHwab wahi hai ki jo tha
barha chheDa hai saz-e-rag-e-jaan ko phir bhi
dil se ek rishta-e-mizrab wahi hai ki jo tha
ashk-e-ulfat ko hiqarat se na dekho ki ye ashk
aaj bhi gauhar-e-nayab wahi hai ki jo tha
yun to har tarah masail mein izafa hai magar
qissa-e-mimbar-o-mehrab wahi hai ki jo tha
takiya-e-KHak-e-qanaat hai idhar aur udhar
bistar-e-atlas-o-kamKHab wahi hai ki jo tha
lakh taskin ke saman mayassar hain 'ziya'
aalam-e-dida-e-be-KHwab wahi hai ki jo tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.