karb-e-shikastagi ka maza humse puchhiye
karb-e-shikastagī kā maza ham se pūchhiye
ik pal kī dil-lagī kā maza ham se pūchhiye
lamhoñ kī sarḳhushī kā maza aap jāniye
sadiyoñ kī bebasī kā maza ham se pūchhiye
har tīrgī-e-rasm-e-jahālat ko chhoḌ kar
tanvīr-e-āgahī kā maza ham se pūchhiye
manzil kī justujū meñ bhaTakte haiñ aaj tak
be-ilm rahbarī kā maza ham se pūchhiye
shīshe ke sā.ebān meñ hai mom kā badan
sūraj se dostī kā maza ham se pūchhiye
saare havās jal ga.e qurbat kī aañch meñ
is shab kī sho.alagī kā maza ham se pūchhiye
qadmoñ meñ loTne lagī daulat jahān kī
is saada zindagī kā maza ham se pūchhiye
har marhala hayāt kā āsān ho gayā
anjām-e-āshiqī kā maza ham se pūchhiye
aa kar savād-e-kūcha-e-jānāñ meñ ai 'nadīm'
gum hotī raushnī kā maza ham se pūchhiye
karb-e-shikastagi ka maza hum se puchhiye
ek pal ki dil-lagi ka maza hum se puchhiye
lamhon ki sarKHushi ka maza aap jaaniye
sadiyon ki bebasi ka maza hum se puchhiye
har tirgi-e-rasm-e-jahaalat ko chhoD kar
tanwir-e-agahi ka maza hum se puchhiye
manzil ki justuju mein bhaTakte hain aaj tak
be-ilm rahbari ka maza hum se puchhiye
shishe ke saeban mein hai mom ka badan
suraj se dosti ka maza hum se puchhiye
sare hawas jal gae qurbat ki aanch mein
is shab ki shoalagi ka maza hum se puchhiye
qadmon mein loTne lagi daulat jahan ki
is sada zindagi ka maza hum se puchhiye
har marhala hayat ka aasan ho gaya
anjam-e-ashiqi ka maza hum se puchhiye
aa kar sawad-e-kucha-e-jaanan mein ai 'nadim'
gum hoti raushni ka maza hum se puchhiye
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 43)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.