karb se bharne ko jab aai meri raat ki aankh
karb se bharne ko jab aa.ī mirī raat kī aañkh
ek sūraj ne uThā.ī phir ināyāt kī aañkh
merī har baat se bātoñ kā ziyāñ hotā thā
us kī ḳhāmoshī ne kholī thī mirī baat kī aañkh
muntazir lamhe mere so ga.e girya kar ke
jaane kis roz khule un kī mulāqāt kī aañkh
haa.e un āñkhoñ ke aañsū magar un se bachnā
dekhnā kachche makānoñ pe hai barsāt kī aañkh
jab kabhī hañste hue dikhne kī ḳhvāhish kar luuñ
ghūrne lagtī hai anjāne se ḳhadshāt kī aañkh
jāgne vaale ḳhudā ab to mirī jānib dekh
dekh ab lagne lagī merī munājāt kī aañkh
karb se bharne ko jab aai meri raat ki aankh
ek suraj ne uThai phir inayat ki aankh
meri har baat se baaton ka ziyan hota tha
us ki KHamoshi ne kholi thi meri baat ki aankh
muntazir lamhe mere so gae girya kar ke
jaane kis roz khule un ki mulaqat ki aankh
hae un aankhon ke aansu magar un se bachna
dekhna kachche makanon pe hai barsat ki aankh
jab kabhi hanste hue dikhne ki KHwahish kar lun
ghurne lagti hai anjaane se KHadshat ki aankh
jagne wale KHuda ab to meri jaanib dekh
dekh ab lagne lagi meri munajat ki aankh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.