kasrat-e-tamasha ko wahdat-ashna paya
kasrat-e-tamasha ko wahdat-ashna paya
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
kasrat-e-tamāshā ko vahdat-āshnā paayā
hastī-e-fanā meñ bhī jalva-e-baqā paayā
kyā huā ḳhizar ne jo chashma-e-baqā paayā
jiine par mare to kyā jiine kā mazā paayā
jazba-e-nazāra hai aañkh kī ḳhatā kyā hai
ka.abe meñ sanam dekhā dair meñ ḳhudā paayā
ḳhuuñ huā tamanna kā zulm sar-basar dekhā
dil ko imtihāñ meñ bhī sabr-āzmā paayā
ho gayā hai kasrat meñ raaz āshkār us kā
shaan har jagah dekhī jalva jā-ba-jā paayā
dard se huiiñ paidā dil meñ sau tamannā.eñ
zindagī-e-lazzat ko dard-āshnā paayā
parda-dar ḳhamoshī hai be-hijāb āñkheñ haiñ
rāz-e-bazm-e-dushman kā ham ne kuchh patā paayā
husn kī kashish hī meñ rahbarī kī quvvat thī
gumrahān-e-ulfat ne raah kā patā paayā
raaz ho gayā ifshā uTh gayā hijāb āḳhir
aañkh se chhupe to kyā dil meñ zāhirā paayā
yaad aa gayā dil ko phir alast kā paimāñ
phir jabīñ ko ka.aba se sajda-āshnā paayā
ishq kyā kiyā ham ne saḳhtiyāñ sadā jhelīñ
dil ko har musībat meñ jur.at-āzmā paayā
mo.ajiza adab kā hai 'shād' har kalām apnā
nukta-ras tabī.at ne nutq kyā rasā paayā
kasrat-e-tamasha ko wahdat-ashna paya
hasti-e-fana mein bhi jalwa-e-baqa paya
kya hua KHizar ne jo chashma-e-baqa paya
jine par mare to kya jine ka maza paya
jazba-e-nazara hai aankh ki KHata kya hai
kabe mein sanam dekha dair mein KHuda paya
KHun hua tamanna ka zulm sar-basar dekha
dil ko imtihan mein bhi sabr-azma paya
ho gaya hai kasrat mein raaz aashkar us ka
shan har jagah dekhi jalwa ja-ba-ja paya
dard se huin paida dil mein sau tamannaen
zindagi-e-lazzat ko dard-ashna paya
parda-dar KHamoshi hai be-hijab aankhen hain
raaz-e-bazm-e-dushman ka hum ne kuchh pata paya
husn ki kashish hi mein rahbari ki quwwat thi
gumrahan-e-ulfat ne rah ka pata paya
raaz ho gaya ifsha uTh gaya hijab aaKHir
aankh se chhupe to kya dil mein zahira paya
yaad aa gaya dil ko phir alast ka paiman
phir jabin ko kaba se sajda-ashna paya
ishq kya kiya hum ne saKHtiyan sada jhelin
dil ko har musibat mein jurat-azma paya
moajiza adab ka hai 'shad' har kalam apna
nukta-ras tabiat ne nutq kya rasa paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.