KHaksari se tu iksir se aage baDh ja
KHaksari se tu iksir se aage baDh ja
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
ḳhāksārī se tū iksīr se aage baḌh jā
vo zamīñ ban ki falak-e-pīr se aage baḌh jā
umr bhar jis se giraftār-e-mohabbat na chhuTeñ
zulf-e-jānāñ tū hī zanjīr se aage baḌh jā
dard dekhe jo tujhe dekh ke sar ko paTke
ġham-o-andoh kī tasvīr se aage baḌh jā
ai siyah-baḳhtī tirī ḳhū hai agar baḌhne kī
yaar kī zulf-e-girah-gīr se aage baḌh jā
nāla-e-nīm-shabī ko hai mirī ye tākīd
kaaT meñ burrish-e-shamshīr se aage baḌh jā
mizha-e-yār kā abrū se ishāra hai yahī
tujh meñ tāqat hai agar tiir se aage baḌh jā
tū hī ai āh-e-rasā arsh-e-mua.allā pe pahuñch
tū hī ab nāla-e-shabgīr se aage baḌh jā
paañv pīchhe na haTā manzil-e-maqsūd pakaḌ
jo mile tū usī rahgīr se aage baḌh jā
tujh ko ai gardish-e-kaunain mire sar kī qasam
tū mirī gardish-e-taqdīr se aage baḌh jā
hai nazar-bāz agar kar tū nazāra us kā
yaar ke husn kī tanvīr se aage baḌh jā
zindagī chāhe to ho jā tū azīz-e-har-dil
zā.iqe meñ shakar-o-shīr se aage baḌh jā
KHaksari se tu iksir se aage baDh ja
wo zamin ban ki falak-e-pir se aage baDh ja
umr bhar jis se giraftar-e-mohabbat na chhuTen
zulf-e-jaanan tu hi zanjir se aage baDh ja
dard dekhe jo tujhe dekh ke sar ko paTke
gham-o-andoh ki taswir se aage baDh ja
ai siyah-baKHti teri KHu hai agar baDhne ki
yar ki zulf-e-girah-gir se aage baDh ja
nala-e-nim-shabi ko hai meri ye takid
kaT mein burrish-e-shamshir se aage baDh ja
mizha-e-yar ka abru se ishaara hai yahi
tujh mein taqat hai agar tir se aage baDh ja
tu hi ai aah-e-rasa arsh-e-mualla pe pahunch
tu hi ab nala-e-shabgir se aage baDh ja
panw pichhe na haTa manzil-e-maqsud pakaD
jo mile tu usi rahgir se aage baDh ja
tujh ko ai gardish-e-kaunain mere sar ki qasam
tu meri gardish-e-taqdir se aage baDh ja
hai nazar-baz agar kar tu nazara us ka
yar ke husn ki tanwir se aage baDh ja
zindagi chahe to ho ja tu aziz-e-har-dil
zaiqe mein shakar-o-shir se aage baDh ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.