KHair se dil ne kisi taur bahal jaana hai
ḳhair se dil ne kisī taur bahal jaanā hai
par mirī jaan tujhe yaañ se nikal jaanā hai
auj par hai abhī jaltā huā sūraj chhū lo
baḳht Dhal jaane kī shai hai ise Dhal jaanā hai
havas-e-fīl-numā ka.aba-e-dil Dhā.egī kyā
ishq abābīl ne māhaul badal jaanā hai
ham vo bīmār jo iisā ko bhī māyūs kareñ
ham ne kab aap ke dekhe se sañbhal jaanā hai
us ko ma.alūm hai kis aag kā īñdhan maiñ huuñ
us ne jab chaah liyā maiñ ne pighal jaanā hai
ai sulagtī huī ta.abīr mirī aañkh meñ aa
ḳhvāb ne Thaan liyā hai use jal jaanā hai
KHair se dil ne kisi taur bahal jaana hai
par meri jaan tujhe yan se nikal jaana hai
auj par hai abhi jalta hua suraj chhu lo
baKHt Dhal jaane ki shai hai ise Dhal jaana hai
hawas-e-fil-numa kaba-e-dil Dhaegi kya
ishq ababil ne mahaul badal jaana hai
hum wo bimar jo isa ko bhi mayus karen
hum ne kab aap ke dekhe se sanbhal jaana hai
us ko malum hai kis aag ka indhan main hun
us ne jab chah liya main ne pighal jaana hai
ai sulagti hui tabir meri aankh mein aa
KHwab ne Than liya hai use jal jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.