khanakte sikkon ki arthi jahan se guzri hai
khanakte sikkon ki arthi jahan se guzri hai
Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji
MORE BYQazi Syed Muhi Ahfaz Shaji
khanakte sikkoñ kī arthī jahāñ se guzrī hai
ġharībī kaasa liye phir vahāñ se guzrī hai
hamāre dil kī lagī jab gumāñ se guzrī hai
kabhī zamīñ to kabhī āsmāñ se guzrī hai
abhī to halqa-e-zanjīr paañv meñ hai mire
abhī sadā mirī āh-o-fuġhāñ se guzrī hai
chaḌhā ke aag pe hāñDī meñ bhuuk bachchoñ kī
tasallī maañ kī baḌe imtihāñ se guzrī hai
lakīr khīñch dī nafrat kī do qabīloñ meñ
kabhī jo teġh-e-havas darmiyāñ se guzrī hai
sajā diye ga.e kāñTe diloñ ke āñgan meñ
ta.assubāt kī devī jahāñ se guzrī hai
unheñ milegā bhalā kaise manziloñ kā nishāñ
ki manziloñ kī talab kārvāñ se guzrī hai
rahā 'shajī.a' bhī maañ kī duāoñ kā muhtāj
hayāt jab bhī kisī imtihāñ se guzrī hai
khanakte sikkon ki arthi jahan se guzri hai
gharibi kasa liye phir wahan se guzri hai
hamare dil ki lagi jab guman se guzri hai
kabhi zamin to kabhi aasman se guzri hai
abhi to halqa-e-zanjir panw mein hai mere
abhi sada meri aah-o-fughan se guzri hai
chaDha ke aag pe hanDi mein bhuk bachchon ki
tasalli man ki baDe imtihan se guzri hai
lakir khinch di nafrat ki do qabilon mein
kabhi jo tegh-e-hawas darmiyan se guzri hai
saja diye gae kanTe dilon ke aangan mein
tassubaat ki dewi jahan se guzri hai
unhen milega bhala kaise manzilon ka nishan
ki manzilon ki talab karwan se guzri hai
raha 'shajia' bhi man ki duaon ka muhtaj
hayat jab bhi kisi imtihan se guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.