KHandaq-e-dahr mein utar to sakun
ḳhandaq-e-dahr meñ utar to sakūñ
jo na ab tak huā vo kar to sakūñ
gard-ālūd āmad-o-shud hai
chāhatoñ meñ guzar basar to sakūñ
chal rahī hai havā-e-tund-o-tez
talḳhiyoñ ko zarā shakar to sakūñ
saarī kī saarī ne.amateñ haiñ udhar
kuchh udhar ko zarā idhar to sakūñ
dhuup barsā rahī hai angāre
shahr-e-be-sāya ko shajar to sakūñ
terī duniyā meñ sarhadeñ haiñ bahut
chāhūñ jis samt se guzar to sakūñ
KHandaq-e-dahr mein utar to sakun
jo na ab tak hua wo kar to sakun
gard-alud aamad-o-shud hai
chahaton mein guzar basar to sakun
chal rahi hai hawa-e-tund-o-tez
talKHiyon ko zara shakar to sakun
sari ki sari neamaten hain udhar
kuchh udhar ko zara idhar to sakun
dhup barsa rahi hai angare
shahr-e-be-saya ko shajar to sakun
teri duniya mein sarhaden hain bahut
chahun jis samt se guzar to sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.