khanDar ki tarh se wo dhire dhire Dhahta tha
khañDar kī tarh se vo dhīre dhīre Dhahtā thā
ye hādisa to zarūrī hai dil na kahtā thā
sameT lo koī kirchī paḌī jo mil jaa.e
vo aks TuuTe hue ā.inoñ meñ rahtā thā
maiñ us galī kā musāfir thā par ḳhabar na huī
ki khiḌkī khiḌkī koī surḳh chāñd gahtā thā
ye kaisī khokhlī chāhat kī dhuul uḌne lagī
tirī ragoñ se to merā hī ḳhuun bahtā thā
jo girtā jism sañbhāle rahā thā ham sab ko
vo shīsha thā jo chaTānoñ kā bojh sahtā thā
maiñ terī qabr kī miTTī bhī nam na kar paayā
tū apne hoñToñ se merā hī dard kahtā thā
tamām shahr 'musavvir' thā ḳhvāb kī bastī
mire hī kānoñ meñ chīḳhoñ kā siisa bahtā thā
khanDar ki tarh se wo dhire dhire Dhahta tha
ye hadisa to zaruri hai dil na kahta tha
sameT lo koi kirchi paDi jo mil jae
wo aks TuTe hue aainon mein rahta tha
main us gali ka musafir tha par KHabar na hui
ki khiDki khiDki koi surKH chand gahta tha
ye kaisi khokhli chahat ki dhul uDne lagi
teri ragon se to mera hi KHun bahta tha
jo girta jism sanbhaale raha tha hum sab ko
wo shisha tha jo chaTanon ka bojh sahta tha
main teri qabr ki miTTi bhi nam na kar paya
tu apne honTon se mera hi dard kahta tha
tamam shahr 'musawwir' tha KHwab ki basti
mere hi kanon mein chiKHon ka sisa bahta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.