KHayal-o-fikr jahan zawiye badalte hain
ḳhayāl-o-fikr jahāñ zāviye badalte haiñ
vahīñ se nit-na.e uslūb chal nikalte haiñ
vo raat ko pa.e gul-gasht jab nikalte haiñ
falak pe chāñd-sitāroñ ke dil machalte haiñ
mire kalām meñ mafrōza-o-qayās nahīñ
ye tajrabāt haiñ jo she'r ban ke Dhalte haiñ
ruḳh-e-hayāt ko har zāviye se dekhā hai
mushāhidāt ke qālib meñ she'r Dhalte haiñ
qadam qadam pe Hayā-soziyon kā aalam hai
sañvar sañvar ke nigārān-e-shahar chalte haiñ
tumhāre ġham se ibārat hai zindagī merī
tumhāre yaad ke dil meñ charāġh chalte haiñ
haiñ kāmrān vahī log aaj duniyā meñ
jo vaqt aur zamāne ke saath chalte haiñ
gudāz-e-qalb bhī hotā hai kuchh unhīñ ko nasīb
jo dard-mand haiñ un ke hī dil pighalte haiñ
rah-e-hayāt meñ aisā bhī hai maqām koī
jahāñ jujūn-o-ḳhirad saath saath chalte haiñ
judā hai rang-e-suḳhan 'tāj' har suḳhan-var kā
ba-e'tebār-e-nazar fikr-o-fan badalte haiñ
KHayal-o-fikr jahan zawiye badalte hain
wahin se nit-nae uslub chal nikalte hain
wo raat ko pae gul-gasht jab nikalte hain
falak pe chand-sitaron ke dil machalte hain
mere kalam mein mafrooza-o-qayas nahin
ye tajrabaat hain jo she'r ban ke Dhalte hain
ruKH-e-hayat ko har zawiye se dekha hai
mushahidat ke qalib mein she'r Dhalte hain
qadam qadam pe Haya-soziyon ka aalam hai
sanwar sanwar ke nigaran-e-shahar chalte hain
tumhaare gham se ibarat hai zindagi meri
tumhaare yaad ke dil mein charagh chalte hain
hain kaamran wahi log aaj duniya mein
jo waqt aur zamane ke sath chalte hain
gudaz-e-qalb bhi hota hai kuchh unhin ko nasib
jo dard-mand hain un ke hi dil pighalte hain
rah-e-hayat mein aisa bhi hai maqam koi
jahan jujun-o-KHirad sath sath chalte hain
juda hai rang-e-suKHan 'taj' har suKHan-war ka
ba-e'tebar-e-nazar fikr-o-fan badalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.