KHiram-e-naz-e-gulchin dekh kar baad-e-saba Thahre
ḳhirām-e-nāz-e-gulchīñ dekh kar bād-e-sabā Thahre
bajā.eñ chuTkiyāñ ġhunche to bulbul kī sadā Thahre
kabhī hoñToñ pe aa Thahre kabhī āñkhoñ meñ aa Thahre
alag ho kar bhalā tujh se dil-e-betāb kyā Thahre
na ham minnat-kash-e-sāhil na ham marhūn-e-tūfāñ haiñ
ham apnī kashtī-e-hastī ke ḳhud hī nāḳhudā Thahre
mujhe shām-o-sahar kā ḳhauf kyā rāh-e-mohabbat meñ
shab-e-ġham sub.h-e-hijrāñ donoñ mere ham-navā Thahre
hazāroñ sar-phire sar āb-e-sālan par uThāte haiñ
kabhī tūfān kī zad meñ bhī koī bilbilā Thahre
ham apne āñsuoñ kī bas yahī me'rāj samjhe haiñ
tire dāman se haT kar kyoñ kahīñ ye qāfila Thahre
tire chehre ke ḳhatt-o-ḳhāl koī kyā samajh paa.e
tire madd-e-muqābil jab na koī aa.ina Thahre
jo kal tak vāqa'ī munkir the ā.īn-e-mohabbat ke
vahī un kī nazar meñ aaj pāband-e-vafā Thahre
rah-e-haq se hameñ ye ahl-e-bātil kyā haTā.eñge
kahīñ bhī imtihāñ le leñ kahīñ bhī karbalā Thahre
raho duniyā meñ iḳhlās-o-muravvat kā shajar ban kar
tumhāre saa.e meñ har āshnā nā-āshnā Thahre
'zuhūr'-e-nā-tavāñ marne se ghabrātā nahīñ lekin
abhī masrūf-e-yād-e-dost hai kah do qazā Thahre
KHiram-e-naz-e-gulchin dekh kar baad-e-saba Thahre
bajaen chuTkiyan ghunche to bulbul ki sada Thahre
kabhi honTon pe aa Thahre kabhi aankhon mein aa Thahre
alag ho kar bhala tujh se dil-e-betab kya Thahre
na hum minnat-kash-e-sahil na hum marhun-e-tufan hain
hum apni kashti-e-hasti ke KHud hi naKHuda Thahre
mujhe sham-o-sahar ka KHauf kya rah-e-mohabbat mein
shab-e-gham subh-e-hijran donon mere ham-nawa Thahre
hazaron sar-phire sar aab-e-salan par uThate hain
kabhi tufan ki zad mein bhi koi bilbila Thahre
hum apne aansuon ki bas yahi me'raj samjhe hain
tere daman se haT kar kyon kahin ye qafila Thahre
tere chehre ke KHatt-o-KHal koi kya samajh pae
tere madd-e-muqabil jab na koi aaina Thahre
jo kal tak waqa'i munkir the aain-e-mohabbat ke
wahi un ki nazar mein aaj paband-e-wafa Thahre
rah-e-haq se hamein ye ahl-e-baatil kya haTaenge
kahin bhi imtihan le len kahin bhi karbala Thahre
raho duniya mein iKHlas-o-murawwat ka shajar ban kar
tumhaare sae mein har aashna na-ashna Thahre
'zuhur'-e-na-tawan marne se ghabraata nahin lekin
abhi masruf-e-yaad-e-dost hai kah do qaza Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.