KHud-agahi ke liye bahr-e-bekaran mein utar
ḳhud-āgahī ke liye bahr-e-bekarāñ meñ utar
shanāvarī kā hunar hai to jism-o-jāñ meñ utar
har ek baat mujhe be-yaqīñ sī lagtī hai
yaqīn ban ke mirī zāt-e-be-gumāñ meñ utar
maiñ dhuup dhuup ghanī pyaas pī chukā huuñ bahut
kabhī to abr-e-ravāñ dasht-e-be-karāñ meñ utar
har ek lamha gurezāñ sā lag rahā hai mujhe
kabhī to sho.ala-e-ḳhanjar ġhubār-e-jāñ meñ utar
nikal ke yaas kī in sard sard lahroñ se
ai zindagī tū har ik sho.ala-e-javāñ meñ utar
chamak uTheñge añdheroñ meñ anginat sūraj
tū barq ban ke mire qalb-e-nā-tavāñ meñ utar
tujhe bhī karb ke dariyā meñ maiñ Dubo dūñgā
jo ho sake to mirī chashm-e-ḳhūñ-fishāñ meñ utar
har ek lamha hai teġh-e-sitam to kyā ġham hai
darāz-dasti-e-qātil ke imtihāñ meñ utar
faqīh-e-shahr se qat-e-nazar kabhī to 'nazar'
tū mere ashk kī be-harf dāstāñ meñ utar
KHud-agahi ke liye bahr-e-bekaran mein utar
shanawari ka hunar hai to jism-o-jaan mein utar
har ek baat mujhe be-yaqin si lagti hai
yaqin ban ke meri zat-e-be-guman mein utar
main dhup dhup ghani pyas pi chuka hun bahut
kabhi to abr-e-rawan dasht-e-be-karan mein utar
har ek lamha gurezan sa lag raha hai mujhe
kabhi to shoala-e-KHanjar ghubar-e-jaan mein utar
nikal ke yas ki in sard sard lahron se
ai zindagi tu har ek shoala-e-jawan mein utar
chamak uThenge andheron mein anginat suraj
tu barq ban ke mere qalb-e-na-tawan mein utar
tujhe bhi karb ke dariya mein main Dubo dunga
jo ho sake to meri chashm-e-KHun-fishan mein utar
har ek lamha hai tegh-e-sitam to kya gham hai
daraaz-dasti-e-qatil ke imtihan mein utar
faqih-e-shahr se qat-e-nazar kabhi to 'nazar'
tu mere ashk ki be-harf dastan mein utar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.